Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Jab se tere khyal ka mousam hua hai dost,
Dunia ki dhop chaon se age nikal gaye,
Mur mur k ab bhi kheet sadaen diya kaye,
Abb k bhi tere gaon se age nikal gaye,
Hum ko palat k daikhana mushkal sa ho geya hai,
Shaid teri sadaon se age nikal gaye.
Mujh ko bhi khof-e-tarak-e-taloq ne aa liya,
Wo bhi isi khyal se aoron ki ho gayi,
Pehle to us k hath ki mashal bhojhi WASI,
Phir yon hoa kahen meri taqdeer kho gayi.
Falak pe chand k hale bhi sog karte hain,
Jo to nahin to ojhale bhi sog karte hain,
Tumhare hath ki chori bhi ben karti hai,
Hamare hont k tale bhi sog karte hain,
Nagar nagar me wo bikhare hain zulam k manzar,
Hamare rooh k chale bhi sog karte hain,
Use kaho k sitam me wo kuch kami kar de,
K zulam torane wale bhi sog karte hain,
Tum apne dukh pe akaile nahin ho afsorda,
Tumhare chahne wale bhi sog karte hain.
Har ik shab meri taza azaab me guzari,
Tumhare bad tumhare hi khawab me guzari,
Main aik phol hon wo mujh ko rakh k bhol gea,
Tamam umer usi ki kitab me guzari.
Mujhse wo aksar kehti thi,
Meri bus itni khawaish hai,
Kuch aisi pehchani jaon,
Aap k naam se jani jaon.
Dard ki dil pe hakumat thi, Kahan tha us waqt ?
Jab mujhe teri zaroorat thi, Kahan tha us waqt ?
Maut ke sukh mein chala aya mujhe dekhne ko,
Zinda rehne ki museebat thi, Kahan tha us waqt ?
Dil ke darya’on mein ab rait hai sehraon ki,
Jab mujhe tujhse mohabat thi, Kahan tha us wakt ?
Dil jo toota hai to dil ke kono se,
Teri meri nishaniyan nikli’n,
Tu gaya hai to mere yaaron mein,
Kesi kesi kahaniyan nikli’n.
Main kahin bhi kisi nagar mein raha,
Tere asaib ke asar mein raha,
Woh bhi paagal hua juda ho kar,
Umar bhar mein phir bhi safar mein raha,
Aik jadugari to thi tujh me,
Mein bhi kuch din tere asar mein raha,
Bheegta doobta raha dil mein,
Tera chehra meri nazar mein raha,
Pesh-kash maan li zamane ne,
Aur ek mein, Agar magar mein raha,
Jo bhi deewar hai raste main giraa ke ro lain,
Aao ik doojay ko seene se laga ke ro lain,
Saamne tu hai to hum dil mein bhi ro sakte hain,
Yu’n karain hum tujhe baaton mein laga kar ro lain,
Tere aaney se yeh naraaz raha karte hain,
Jee mein hai aaj har ik gham ko manaa kar ro lain,
Teri jabeein pe likha tha ke tu bhula dega,
So mein bhi bhaamp geya tha ke tu bhula dega,
Har aik shakhs se larta raha mein tere liye,
Har ik ne mujhe se kaha tha ke tu bhula dega,
Yeh teri aankhon pe halqey se parr gaye kaise,
Mujhe to tu ne kaha tha ke tu bhula de ga ,
Nikaal laya hai ilzaam phir puraney tu,
Yeh hum ne tey’y bhi kiya tha ke tu bhula de ga,
Kuch is liye bhi ke ik til tha teri ankhon mein,
Mujhe to tab pata tha ke tu bhula de ga,