Shayari About Tears - Hindi Shayari

Num Kar Gaye Aakhe Unki

Num Kar Gaye Aakhe Unki Jane Anjane Me….
Takleef Hame Bhi Huwe Unki Khafa Hojane Me…

Num Kar Gaye Aakhe Unki

Rishton Ki Duniya Mein

Rishton Ki Duniya Mein,
Sabse Pyari Hai Dosti Tumhari,
Manzoor Hai Aansu Bhi Akhon Mein Humari,
Agar Aa Jaye Muskan Chehre Pe Tumhari.

Rishton Ki Duniya Mein

Pyase Ko Ek Katra

Pyase Ko Ek Katra Pani Kafi Hai,
Ishq Mein Char Pal Ki Zindgani Kafi Hai,
Doobne Ko Samander Mein Jayein Kahan,
Aapki Aankh Se Tapka Voh Pani Kafi Hai.

Pyase Ko Ek Katra

Main Kab Tanha Hua Tha

Main Kab Tanha Hua Tha, Yaad Hoga
Tumhara Faisla Tha, Yaad Hoga

Bahut Se Ujle-Ujle Phool Lekar
Koi Tumse Mila Tha, Yaad Hoga

Bichi Thi Har Taraf Aankhein Hi Aankhein
Koi Aansu Gira Tha, Yaad Hoga

Udasi Aur Badhti Ja Rahi Thi
Voh Chehra Bujh Raha Tha, Yaad Hoga

Main Kab Tanha Hua Tha

Tera Hath Mere Kandhe Par

Tera Hath Mere Kandhe Par, Dariya Behta Jata Hai
Kitni Khamoshi Se Dukh Ka Mausam Guzar Jata Hai

Raakh Hui In Aankhon Ki Shamein, Aansu Bhi Benoor Hue
Dheerey-Dheerey- Mera Dil Pathar Sa Hota Jata Hai

Apna Dil Hai Ek Parinda Jiske Bazoo Tute Hain
Hasrat Se Baadal Ko Dekhe, Kaise Baadal Udta Jata Hai

Humne To Bazar Mein Duniya Bechi Aur Kharidi Hai
Humko Kya Maloom Kisi Ko Kaise Chaha Jata Hai

Tera Hath Mere Kandhe Par

Shayad Mere Aansu Se

Shayad Mere Aansu Se Uska Koi Rishta Hai
Tapte Sehra Mein Jo Phool Akela Hai

Ho Sakta Hai Kal Suraj Sota Hi Mujhe Paye
Ik Saanp Mere Mere Dil Mein Simta Hua Baitha Hai

Ab Roye Kahan Savan, Ab Tadpe Kahan Baadal
Yoon Mehendi Wale Hath Per Aansu Abhi Tapka Hai

Shayad Mere Aansu Se

In Aansuo Ki Keemat Kahan Koi

In Aansuo Ki Keemat Kahan Koi Samjh Paya Hai
Hamne To Ro Rokar Bhi Bs Jamane Ko Hansaya Hai

In Aansuo Ki Keemat Kahan Koi

Dilom Mein Aarzu Ke Diye

Dilon Mein Aarzu Ke Diye Jalte Rahenge
Aankhon Se Aansu Nikalte Rahenge
Aap Shama Bankar Dil Mein Roshni Karna
Hum Mom Bankar Pighalte Rahenge

Dilom Mein Aarzu Ke Diye

Karoge Yaad Ek Din

Karoge Yaad Ek Din Is Pyar Ke Zamane Ko
Chale Jayenge Jab Hum Kabhi Na Vapas Aane Ko
Chalega Mehfil Mein Jab Zikr Hamara Koi
To Tum Bhi Tanhai Dhundoge Aansu Bahane Ko

Karoge Yaad Ek Din

Apni Aankho Mein

Apni Aankho Mein Lakhon Sawal Rakhta Hoon,
Magar Main Gareeb Apna Tuta Dil Sambhal Rakhta Hoon,
Bahut Purana Talluq Hai Mera Aansuon Se,
Hamesha Jeb Mein Bhiga Rumal Rakhta Hoon.

Apni Aankho Mein

Hum Rooth Jayenge To

Hum Rooth Jayenge To Manaane Ka Wada Kiya Tha
Hum Door Jayenge To Bulaane Ka Wada Kiya Tha
Aaj Palkon Pe Aansu Bhar Diye Jisne
Zindagi Bhar Hasaane Ka Wada Kiya Tha…

Hum Rooth Jayenge To

Jane Kyun Aansuo Se

Jane Kyun Aansuo Se Aankh Bhar Aayi
Dil Ko Shayad Tumhari Yaad Bahut Aayi
Chahat Thi Itni Tum Se Milne Ki
Lekin Ye Baat Uperwale Ko Kabhi Raas Na Aayi…

Jane Kyun Aansuo Se

Wo Aansu Jo Palko Ki

Wo Aansu Jo Palko Ki Zeenat Nahi Bante
Wo Chupke Se Dil Mein Utar Jaya Karte Hain
Kuch Log Apne Dukho Ki Numaish Nahi Karte
Bas Khamoshi Se Hi Bikhar Jaya Karte Hain…

Wo Aansu Jo Palko Ki

Koi Rasta Nahi Dua Ke Siva

Koi Rasta Nahi Dua Ke Siva,
Koi Sunta Bhi Nahi Khuda Ke Siva,
Maine Zindagi Koi Kareeb Se Dekha Hai Dost,
Muskil Mein Koi Sath Nahi Deta Aansu Ke Siva.

Koi Rasta Nahi Dua Ke Siva

Pyar Ke Liye Rishto

Pyar Ke Liye Rishto Ki Jarurat Na Hoti
Baat Ke Liye Sabdo Ki Jarurat Na Hoti
Dil Ki Baate Jo Aap Samajh Jaate
Ankho Ko Aansuo Ki Jarurat Na Hoti…

Pyar Ke Liye Rishto

Adhuri Meri Bhi Kahani

Adhuri Meri Bhi Kahani Reh Jayegi
Adhuri Teri Bhi Zindagani Reh Jayegi
Baithoge Jab Bhi Fursat K Palo Me Yaad Kroge Muzhe Hi
Aankho Se Behne Wale Aansu Teri Nishani Reh Jayegi…

Adhuri Meri Bhi Kahani

Zindagi Hai Khoobsurat

Zindagi Hai Khoobsurat Par Mohabbat Hai Uski Zaroorat
Har Ek Saks Ki Nigahon Mei Basti Hai Kisi Dilbar Ki Surat
Chalakte Hain Aankhon Se Aansu Yaadon Mei Kisi Ki
Ban Jaate Hain Wo Bhi Bejaan Koi Murat…

Zindagi Hai Khoobsurat

Aankho Ki Thi Khata

Aankho Ki Thi Khata, Saza Dil Ne Payi Hai,
Pyar Mein Hume Mili Yaar Se Sirf Ruswayi Hai,
Tanhaiyo Ka Hai Daur Aur Dard Se Aankh Bhar Aayi Hai,
Lamho Ki Thi Khata, Sadiyo Ki Saza Payi Hai…

Aankho Ki Thi Khata

Woh Toh Paani Ki Boond

Woh Toh Paani Ki Boond Hai Jo Ankho Se Beh Jaye,
Aansu Toh Woh Hai Jo Tadap K Ankho Me Hi Reh Jaye,
Woh Pyar Kya Jo Lafzo Me Bayan Ho?
Pyar Toh Woh Hai Jo Aakhon Me Nazar Aaye…

Woh Toh Paani Ki Boond

Bnane Wale Ne Kash

Bnane wale ne kash mujhe aansu banaya hota,
Aur unki aankho me basaya hota,
Jab girte unka ankho se unki god me,
Mujhe bhi marne ka maza aaya hota…

Bnane Wale Ne Kash