Shayari About Wafa - Hindi Shayari

Wafa Ki Kasam Hum Bewafa Na Honge

Wafa Ki Kasam Hum Bewafa Na Honge,
Mar Jayenge Par Aapse Juda Na Honge,
Hum Bhi Banayenge Apni Dosti Ka Mahal,
Sharm Se Jhuk Jayega Taj Mahal.

Wafa Ki Kasam Hum Bewafa Na Honge

Na Wafa Ka Zikar Hoga

Na Wafa Ka Zikar Hoga
Na Wafa Ki Baat Hogi
Ab Mohabbat Jis Se Bhi Hogi
Matlab Ke Sath Hogi..

Na Wafa Ka Zikar Hoga

Tere Liye Hi Jiya Mein

Tere Liye Hi Jiya Mein,
Khud Ko Jo Yun De Diya Hai,
Teri Wafa Ne Mujhko Sambhala,
Sare Ghumo Ko Dil Se Nikala.

Tere Liye Hi Jiya Mein

Din Guzarte Hai Jiski Yaado Me

Din Guzarte Hai Jiski Yaado Me,
Wo Mere Pyaar Ki Kadar Kar Na Ski,
Rooh Ki Shiddat Se Use Chaha Maine,
Or Wo 1 Pal Ke Liye Bhi Wafaa Kar Na Saki.

Din Guzarte Hai Jiski Yaado Me

Kya Kahu K Ab Tujhe

Kya kahu k ab tujhe mohabbt nahi rahi,
tere pyar me wo pehli si shiddat nahi rahi,
ya to teri wafao ka mausam guzar gaya,
ya ye kahu ki tujhe ab meri zarurt nhi rahi.

Kya Kahu K Ab Tujhe

Tere Sheher-E-Wafa K Logon Ne

Tere Sheher-E-Wafa K Logon Ne,
Pehle Pyar Kiya Phir Chhor Dia,
Mujhe Sagar Samajh K Peetey Thay,
Jab Piyas Bujhi Tab Torr Diya…?

Tere Sheher-E-Wafa K Logon Ne

Dil Se Roye Magar Hothon Se

Dil se roye magar hothon se muskura baithe,
yunhi hum wafa nibha baithe,
woh hume ek lamha na de paye apne pyar ka,
Aur unke liye hum apni zindigi luta baithe.

Dil Se Roye Magar Hothon Se

Saza Pe Chhod Diya

Saza Pe Chhod Diya, Jahaa Pe Chhod Diya..
Her Ek Kam Ko hum Ne Khuda Pe Chhod Diya !!

Wo Hum Ko Yaad Rakhe Ya Phir Bhula De..
Usi Ka Kaam Tha, Us Ki Raza Pe Chhod Diya !!

Ab Us Ki Marzi Bhujha De, Ya Jala De..
Chirag Hum Ne Jala Ke Hawa Pe Chhod Diya !!

Aab Us Se Baat Kiye Bagair Kaise Rehenge Hum..
Ye Masla Dua Ka Tha So Dua Pe Chhod Diya !!

Is Liye To Wo Kehte Hain Dewana Hum Ko..
Ki Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chhod Diya !!

Saza Pe Chhod Diya

Wo Mohabbat Bhi Teri Thi

Wo mohabbat bhi teri thi, wo nafarat bhi teri thi,
wo apnane aur thukrane ki Ada bhi teri thi,
Mai apni wafa ka insaaf kis se maangti…?
wo shehar bhi tera tha, wo Adaalat bhi teri thi .

Wo Mohabbat Bhi Teri Thi

Yahi Bohat Hai K Qayam Rahe

Yahi Bohat Hai K Qayam Rahe Wafa Ka Bharam,
Koi Kisi Ka Howa Bi Hai Ummer Bhar K Liye.

Yahi Bohat Hai K Qayam Rahe

Ishq Hai Tujhse Hum

Ishq Hai Tujhse Hum Bayan Kaise Kare.
Is Haqiqat Ko Lafzo Main Ada Kaise Kare.
Roshan Ho Jayega Sama Agar Tum Ajao.
Apni Wafa Ko Teri Rahon Me Fanaa Kaise Kare..

Ishq Hai Tujhse Hum

Tahreer Baich Kar To Kabhi

Tahreer Baich Kar To Kabhi Baat Baich Kar,
Patay Hain Rizaq Soorat-E-Halat Baich Kar,
Waqif Na Thay Tijarat-E-Mahr-O-Wafa Say Jo,
Lotay Hain Pai Pai Main Jazbat Baich Kar.

Tahreer Baich Kar To Kabhi

Taqdir Badalte Dekha Hai

Taqdir badalte dekha hai,
Har kisiko badalte dekha hai,
Jisne bhi ki hai wafa yaha,
Har wafa ko rote huve dekha hai.

Taqdir Badalte Dekha Hai

Insaano Ke Kandho Par Insaan

insaano Ke Kandho Par Insaan Jaa Rahe The,
Kafno Me Lipte Kuch Armaan Ja Rahe The,
Jinhe Mili Bewafai Mohabbat Me,
Wafa Ki Talaash Me Wo Kaber-E-Stan Ja Rhe The.

Insaano Ke Kandho Par Insaan

Hum Apni Wafa Ka Yakin Tumko

Hum Apni Wafa Ka Yakin Tumko Dila Na Sake,
Tumse Gaye Door Kya, Fir Paas Aa Na Sake,
Iss Kadar Toot Kar Chaha Tujhe,
Key Tere Baad Hum Kisi Aur Ko Chah Na Sake.

Hum Apni Wafa Ka Yakin Tumko

Shikwon Ko Utha Rakhna

Shikwon Ko Utha Rakhna, Aankhon Ko Bichha Rakhna,
Ek Shama Dareeche Ke Chaukhat Pe Jala Rakhna,
Mayoos Na Phir Jaaye, Haan Paas-E-Wafa Rakhna,
Darwaza Khula Rakhna Darwaza Khula Rakhna.

Shikwon Ko Utha Rakhna

Kabhi To Ayenge Wo Hamari Wafao Se

Kabhi To Ayenge Wo Hamari Wafao Se Sharminda Hokar,
Fir Hum Na Milnge Unko Dubara Zinda Hokar,
Kya Mila Unko Hmari Duniya Chodkar,
Khud B Tanha Reh Gye Hume Tanha Chodkar.

Kabhi To Ayenge Wo Hamari Wafao Se

Hum Na Rahen Bhi To Humari

Hum Na Rahen Bhi To Humari Yaadain Wafa Karengi Tum Se,
Ye Na Samajhna K Tumhain Chaha Bas 2 Din K Liye.

Hum Na Rahen Bhi To Humari

Ham Wafa-E-Husan Ko Rusva Nahi Karte

Ham wafa-e-husan ko rusva nahi karte,
Parda bhi uthe ruh se to dekha nahi karte,
Kar lete he dil apna tassavur se he roshan,
Maang kar chirago se ujala nahi karte.

Ham Wafa-E-Husan Ko Rusva Nahi Karte

Qurb Key Na Wafa Key Hote Hain

Qurb Key Na Wafa Key Hote Hain,
Sary Jhagre Ana Key Hote Hain,
Wo Humara Hai Is Tarha Se Faiz,
Jaise Bande Khuda Key Hote Hain.

Qurb Key Na Wafa Key Hote Hain