Kaisi Beeti Raat Kissi Se Mat Kehna
Sapno Wali Baat Kissi Se Mat Kehna
Kaisay Uthay Badaal Or Kahan Takray
Kaisi Hui Barsaat Kissi Se Mat Kehna
Teri Qurbat Bhi Nahin Hai Mayassar,
Aur Din Baarishon Ke Aa Rahey Hain
Main Udas Rasta Hoon Shaam Ka ,
Mujhe Aahaton Ki Talash Hai,
Ye Sitaare Sab Hain Bujhe-Bujhe,
Mujhe Jugnuon Ki Talash Hai,
Wo Jo Ek Darya Tha Aag Ka Wo To Raaston Se Guzar Gaya
Mujhe Kab Se Rait Ke Shahar Mein Nai Baarishon Ki Talash
Barsaat Ke Aatey Hi, Tauba Na Rahi Baaqi
Baadal Jo Nazar Aaye, Badli Meri Neeyat Bhi
Chandni Se Chamakti Is Raat Main,
Ek Khushboo Si Hai Har Baat Main,
Paas Aake Bhi Kyon Hain Duriya,
Koi Pyasa Hai Kyon Barsat Main.
Narm Aawaz Bhali Baatain Mohazzab Lehje
Pahli Baarish Main Hi Ye Rang Utar Jaate Hain
Ye husan-e mausam, ye barish, ye hawayein,
Lgta hai mohabbat ne aaj kisi ka sath diya hai
Mere Hisse Ki Zameen Banjar Thi, Main Waaqif Na Thaa
Be-Sabab Ilzaam Main Detaa Rahaa Barsaat Ko
Kabhi hum bheegate hain chahaton ki tej baarish mein…
Kabhi barson nahin milte kisi halki se ek ranjish mein…
Tumhi mein dewtaon ki khushboo nahin thi warna…
Kami koi nahin thi mere andaaz-e-parastish mein…
Ye pehle soch lo phir aur bhi tanha na hojana…
Use chhoone ki khuwahish mein use paane ki koshish mein…
Buhat se zakham hain dil mein magar ek zakham aisa hai..
Jo jal uthta hai raaton mein jo lau deta hai baarish mein..
..
Baarishain ho hi jaati hain mere shaher mein,
Faraz Kabhi badalon se to kabhi aankho se