Deta Raha Fareb Koi Sadgi Ke Sath,
Itna Bada Majak Meri Zindgi Ke Sath,
Shayad Saja Mili Hai Us Jurm Ki Hume,
Humne Pyar Hi Kiya Ek Ajnabi Ke Sath
Aajnabee Se Dost Jab Banati Hai Dosti,
Dil Ke Karib Dil Ko Lati Hai Dosti
Sare Farq Bus Yun Hi Mitati Hai Dosti,
Khushi Aur Gum Mein Gana Sikhati Hai Dosti
Dost Ke Liye Jina Sikhati Hai Dosti,
Dhadkan Ka Sur Ban Jati Hai Dosti
Ajnabi Ki Tarah Mile Or Ulfat Ho Gayi,
Ajnabi Dost Aesa Mile Ki Dosti Ho Gayi,
Sachi Dosti Ka Irada Tha Unse,
Lekin Muje Unse Sachi Mahobbat Ho Gayi
Koi Ajnabi Jab Apna Ban Jaye,
Raah Me Roshni Ki Shama Jalaye,
Har Pal Yaad Karke Jab Koi Muskuraye,
Wahi To Hai Apna Jiski Har Khushi Humari Zindgi Ban Jaye
Duniya me sabhi hain ajnabi,
Hum hain aap ke liye ajnabi,
Aap hain mere liye ajnabi,
Ye ajnabi hi ban jate hain zindgi,
Kyuki ajnabi se hi hoti hai mohabbat aur dosti
Woh Kaath Ke Purze Ura Raha Tha
Hawaoon Ka Rukh Dikha Raha Tha
Kuch Aur Bhi Ho Gaya Numaayan
Main Apna Likha Mita Raha Tha
Wo Ek Din Ek Ajnabi Ko
Meri Kahani Suna Raha Tha
Dil Mein Aansuon K Siwa Koi Cheez Nahi Tikti
Kab Milegi Uski Yaadon Se Mujhe Mukhti
Zindegi Toh Mela Hai Ajnabiyon Ka
Kisi Ajnabi K Chale Jane Se Zindegi Toh Nahi Rukhti
Yun Nazar Ki Baat Aur Dil Chura Gaye,
Andhero Ke Saaye Mein Dhadkan Suna Gaye,
Hum To Samjhe The “Ajnabi” Aapko,
Aap To Hume Apna Bana Gaye
Zindagi Mein Har Chiz Pahli Baar Hoti Hai
Kahin Kisi Se Pyaar To Kahin Takrara Hoti Hai
Jo Kya Hua Ke Hum Ajnabi Hai Aapke Liye
Magar Dosti Ajnabiyon Se Hi Pahli Baar Hoti Hai