Rahat Indori Shayari - Hindi Shayari

Mausamo Ka Khyaal Rakha Karo

Mausamo ka khyaal rakha karo,
Kuchh lahoo mein ubaal rakha karo,

Laakh sooraj se dostaana hi,
Chand jugnoo bhi paal rakha karo.

Kasti Tera Naseeb Chamakdar Kar Diya

Kasti tera naseeb chamkadar kar diya,
Is paar ke thapedon ne us paar kar diya,

Afwah thi ki meri tabiyat khrab hai,
Logo ne puch puch ke bimar kar diya.

Jab Bhi Koi Inam Mila Hai

Jab bhi koi inam mila hai, mera naam tak bhul gaye,
Jab bhi koi ilzam laga hai, mujh par lakar dhol diya.

Chalte Phirte Hue Mehtaab Dikhayenge Tumhe

Chalte phirte hue MEhtaab dikhayenge tumhe,
Humse milna kabhi Punjab dikhayenge tumhe.

Faisla Jo Kuch Bhi Ho

Faisla jo kuch bhi ho, hume manjoor hona chahiye,
Jung ho ya ishq ho, Bharpur hona chahiye,

Bhoolna bhi hai, jaroori yaad rakhne ke liye,
Paas rahna hai, to thoda door hona chahiye.

Isse Pehle Ki Hawa Shor Machane

Is se pahle ki hawa shor machane lag jaaye,
Mere “Allaha” meri khak thikane lag jaaye,

Ghere rahte hai khali khwab meri aankhon ko,
Kaash kuch der mujhe neend bhi aane lag jaaye,

Saal bhar Iad ka rasta nahi dekha jaata,
Wo gale mujh se kisi aur baahne se lag jaaye.

Ye Haadsaa To Kisee Din Gujarne

Ye haadsaa to kisee din gujarne waalaa tha,
Me bach bhi jaataa to marne waalaa tha,

Mera naseeb mere haath kat gaye,
Warnaa me teri maang me sindoor bharne waalaa tha.

Intezamat Naye Sire Se Sambhale Jaaye

Intezamat naye sire se sambhale jaaye,
Jitne kamjarf hai mahfil se nikale jaaye,

Mera ghar aag ki lapton me chupa hai lekin,
Jab maza hai, tere aangan me ujaala jaaye.

Raaz Jo Kuch Ho Ishaaron Me

Raaz jo kuch ho ishaaron me bata bhi dena,
Haath jab usse milaao dabaa bhi dena,

Nashaa vese to buri she hian, magar,
“Rahat” se suni ho to thodi si pilaa bhi dena.

Dilon Me Aag, Labon Par Gulab

Dilon me aag, labon par gulab rakhte hain,
Sab apne chheron par, dohari nakaab rakhte hain,

Hume charaag samjh kar bhuja na paaonge,
Hum apne ghar me kai aaftaab rakhte hain.

Ishq Me Peet Ke Aane Ke Liye Kafi Hoon

Ishq me peet ke aane ke liye kafi hoon,
Main nihattha hi zamane ke liye kaafi hoon,

Har hakikat ko meri, khaak samjhne wale,
Main teri neend udaane ke liye kaafi hoon,

Ek akhbaar hoon, aukaat hi kya meri,
Magar shahar me aag lagaane ke liye kaafi hoon.

Saanson Ki Seediyon Se Utar

Saanson ki seediyon se utar aayi jindgee,
Bhujte hue diye ki tarah jal rahe hain hum,

Umron ki dhuo, jisam ka dariya shukh gayi,
Hain hum bhi aaftaab, magar dhal rahe hain hum.

Log Har Mod Pe Ruk Ruk Ke

Log har mod pe ruk ruk ke sambhalte kyo hain,
Itna darte hain to ghar se nikalte kyo hain,

Mod hota hain jawani ka sambhalne ke liye,
Aur sab log yahi aake fisalte kyo hain.

Nai Hawaon Ki Sohabat Bigaad

Nai hawaon ki sohabat bigaad deti hain,
Kabootron ko khul cchat bigaad deti hain,

Jo jurm karte hain itne bure nahi hote,
Sazaa na de ke adaalat bigaad deti hain.

Ban Ke Ik Hadasa Bazaar Me Aa Jayega

Ban ke ik hadasa bazaar me aa jayega,
Jo nahi hoga wo akhbaar me aa jayega,

Chor uchkkon ki karo kadr, ki maloom nahi,
Kaun, kab, kon si sarkaar me aa jayega.

Jaa Ke Koi Keh De

Jaa ke koi kah de, sholon se chingaari se,
Phool is bar khile hain badi taeyari se,

Baadshaahon se bhi feke hue sikke na liye,
Humne khaeraat bhi maangi hain to khuddari se.

Tufaano Se Aankh Milayon

Tufaano se aankh milayon, saelabon pe war karo,
Mallaho ka chakkar chodo, taer kar dariya paar karo,

Phoolon ki dukaane kholo, khushbu ka vyaapar karo,
Ishq khata hain, to ye khata aek baar nahi, sau baar karo.

Safar Ki Had Hain Waha Tak Ki Kuch

Safar ki had hain waha tak ki kuch nishaan rahe,
Chale chalon ki jaha tak ye aasaman rahe,

Ye kya uthaaye kadam aur aa gayi manjil,
Maza to tab hain ke paeron mein kuch thakaan rahe.

Juba To Khol, Nazar To Mila

Juba to khol, nazar to mila, jawaab to de,
Mein kitni baar luta hun, mujhe to hisaab to de,

Tere badan ki likhawat mein hain utaar chadhav,
Mein tujhko kaise padhunga, mujhe kitaab to de.

Lave Deeyon Ki Hawa Mein

Lave deeyon ki hawa mein uchhalte rahna,
Gulo ke rang pe tezab daalte rahna,

Mein noor ban ke jamaane mein fel jaaunga,
Tum aaftaab mein keede nikalte rahna.