Wo Aankhon Mein Kaajal Wo Baalon Mein Gajraa
Hatheli Pe Us Ke Hina Maheki Maheki
Daal Kar Khaak Mere Khoon Pe Qaatil Ne Kahaa
Kuchh Ye Mehndi Nahin Meri Ke Mitaa Bhi Na Sakoon
Tere Tohfe To Sab Ache Hain Magar Mauj-E-Bahaar
Ab Ke Mere Liye Khushboo-E-Hina Aai Ho
Hum Chahat Ke Afsaane Likhtey Rahe…
Woh Bhi Humein Door Se Dekhte Rahe…
Jab Humne Izhaar Karne Ko Hath Thama…
To Mehndi Se Ranga Unka Hath Paya…
Hatheli pe jise likhti-mitati ho Wo nam mera hai,
Mehndi jis ke nam ki rachati ho Wo nam mera hai,
Jo juda he har pal tere namse Wo nam mera hi hai.
Kya Surma Bhari Aankhon Se Aansoo Nahin Bahte,
Kya Mehndi Lage Haathon Se Maatam Nahin Hotaa.
Kaun uthayega tumhari ye zafa mere baad,
Yad ayegi bahut meri wafa mere jane ke baad,
Shukra hai mahobat ne kiya itna range asar,
Teen din usne na lagai mehndi mere jaane ke baad.
Na Mere Zakhm Khile Hain Na Teraa Rang-E-Hina,
Mausam Aaye Hi Nahin Ab Ke Gulaabon Vaale.
Dosti Or Mehandi Me Khas Farak Nahi Hota,
Dono Ek Kaam Kar Jati Hai,
Zindgi Main Khushiyo Ke Rang Deti Hai,
Or Khud FANNAH Ho Jaati Hai.