जफाएं तुम किए जाओ, वफाएं मैं किए जाऊं,
तुम अपने फन में कामिल हो, मैं अपने फन में यकता हूँ।
Raqeebon ke liye acha thikaana ho gaya paida,
Khuda aabaad rakhe main to kehata hun jahnnam ko.
Raah mein baitha hun main tum sang-e-rah samjho mujhe,
Aadmi ban jaaunga kuchh thokrein khaane ke baad.
Namak bhar kar mere zakhmon mein tum kya muskurate ho,
Mere zakhmon ko dekkho muskurana is ko kehate hain.
Na dekhna kabhi aaina bhool kar dekho,
Tumhare husn ka paida jawaab kar dega.
Na dekh honge rind-e-la-ubaali tum ne bekhud se,
Ki aise log ab aankhon se ojhal hote jaate hain.
Maut aa rahi hai waade pe yaa aa rahe ho tum,
Kam ho raha hai dard dil-e-be-karaar ka.
Jawaab soch ke wo dil mein muskuraate hain,
Abhi jabaan pe meri sawaal bhi to na tha.
Jaadoo hai ya tilism tumhaari jabaan mein,
Tum jhut kah rahe the mujhe etibaar tha.
Na kah saqi bahar aane ke din hain,
jigar ke daag chil jane ke din hain,
ada si khub ada aane ke din hain,
abhi to dur sharmane ke din hain,
gareban dhundhate hain hath mere,
chaman mein phul khil jane ke din hain,
tumhen raz-e-muhabbat kya batayen,
tumhare khelane khane ke din hain,
ghatayen udi udi kah rahi hai,
may-e-angur khinchavane ke din hain.