Agar Apna Kaha Tum Aap Hi Samjhe Tau Kya Samjhe;
Maza Kahne Ka Jab Hai, Ik Kahe Aur Doosre Samjhein;
Kalaam-e-Mir Samjhe, Aur Zabaan-e-Meerza Samjhe;
Magar Inn Ka Kaha, Ya Aap Samjhein Ya Khuda Samjhe!
Mehrabaan Ho Ke Bulaalo Mujhe Chaaho Jis Waqt:
Main Geya Waqt Naheen Hoon Ki Phir Aa Bhee Na Sakoon!
Sozish-e-batin Ke Hain Ahbaab Munkir, Warna Yaan;
Dil Maheet-e-girya Aur Lab Aashnaa-e-khanda Hai!
Jab Yaar Ne Utthaa Kar Zulfon Ke Baal Baandhey;
Tab Mainey Apney Dil Mein Laakhon Khayaal Baandhey!
Dil Kis Qadar Shagufta Hua Thha Ki Raat Meer;
Aai Jo Baat Lab Pey So Fariyaad Ho Gayee
Zikar Us Pariwash Ka Aur Bayaan Apna;
Ban Gaya Raqeeb Aakhir, Tha Jo Raazdaan Apna!
Bulbul Ke Kaarobaar Pe Hain Khandahaae Gul;
kahte hain ishq jisko khalal hai dimagh ka!
Zulaam Hai Gar Na Do Sakhun Ki Daad;
Qahar Hai Gar Karo Na Mujhko Payaar;
Aapka Banda Aur Phiroon Nanga;
Aap Ka Naukar Aur Khaaoon Udhaar;
Meri Tankhwah Kijeye Maah Ba Maah;
Ta Na Ho Mujhko Zindagi Dushwaar;
Khatam Karta Hoon Ab Dua Pe Kalaam;
Shaairy Se Nahin Mujhe Sarokaar;
Tum Salaamat Raho Hazaar Baras;
Har Baras Ke Hon Din Pachaas Hazaar!
Hairat Hai Tum Ko Dekh Kar Misjid Main Ae! Insaan;
Aaj Kya Baat Ho Gai Jo Khuda Yaad Aa Gaya!