Aankhen Shayari - Hindi Shayari

Dhoon Lo Koi

Dhoond lo koi tumhe mil hi jayega,
Magar hamari tarah pyar tumhe kaun kar payega,
Mumkin hai chahat ki nazar se koi dekh le tumhe,
Aankhen hamari kahan se payega

Hum Aapko In Aankhon Mein

Hum aapko in aankhon mein yun basaa liya karte hain,
Ja sake jahan tak hamari yeh nazar, aap ko har jagah paa liya karte hain

Nashili Aankho Se Wo Jab

Nashili aankho se wo jab hamein dekhte hain,
Hum ghabraakar ankhen jhuka leite hain,
Kaun milaye unn ankhon se ankhen,
Suna hai wo ankho se apna bana lete hai

Hazar Runjh Sar Aankhon Par

हज़ार रुन्ज़ सर आँखों पर बात ही क्या है
तेरी खुशी के ताल्लुक मेरी खुशी ही क्या है…
रब्बा बचाए तेरी मस्त-मस्त निगाहों से
फरिश्ता ही बहक जाए आदमी की तो ओकात ही क्या है

Hoth Unke Gulbarg

Hoth unke gulbarg se badhkar,
Aankhe unki phool kawal ke

Meri Aankhe Juthi Thi

Meri aankhe juthi thi ya jismmo par aaine the,
har chehre mein goya maine, apna hi chehra dekha

Aafat Ki Sufedi Hai

Aafat ki sufedi hai, qayamat ki siyahi,
narang-e-do aalam mujhe dikhla gayi aankhe

Aankhe Na Jeene Degi

Aankhe na jeene degi teri bewafa mujhe,
bhar najar tumko n dekh kabhi darte darte

Mast Aankhe Udhar Teri

Mast aankhe udhar teri, labrej idhar sagar,
lad jaye n aye saki, paimana se paimana

Dil Unko Dhundta Hai

Dil unko dhundta hai gam ka singhar karke,
aankhe bhi thak gayi h ab ijhar karke.

Gawai Meri Aankhe Hai

Gawai meri aankhe hai, kasam apni tumhari h,
siskate sab gujarti thi, tumhari yaad aati thi

Khoobsurat Tumhari Aankhen

Khoobsurat Tumhari Aankhen,
Aankhon Mein Haya Bhi Hai
Inpe Duniya Main Vaar Deta,
Par Ye Cheez Khuda Ki Hai

Teri Aankhon Mein

teri aankhon mein kho jane aya hu
teri zulfon mein so jane aya hu
kayi dino se dil mein the armaan
aaj tera ho jane aya hu
manjil to tu he hi meri
tujhe apni raah banane aya hu
mein maan chuka hu tujhe apna jaha
is jaha mein apna thikana talashne aya hu

Ruswai Bewafai Gum Aur Judai

Ruswai Bewafai Gum aur Judai,
Aankhe bhi meri ab num ho aayi,
yeh kisne yeh kisne he baddua meri Mohabbat ko lagai,
Ke Mohabbat jo ki mene,
us Bewafa ke liye wafa ki har najayaz kimat chukai

Saadgi Wali Surat Hai Tumhari

Saadgi Wali Surat Hai Tumhari
Dil Me Samayi Murat Hai Tumhari
Doob K Aksar Kho Jata Hu Jisme
Vo Aankhe Bhi Bahut Khoobsurat Hain Tumhari

Honto Pe Ulfat Ka Naam Hota Hai

Honto Pe Ulfat Ka Naam Hota Hai, Aankhon Main Chhalakta Jaam Hota Hai, Talwarron Ki Zarurat Wahan Kaisay, Jahaan Nazro Se Qatl-E-Aam Hota Hai

Aankhen Hain Unki

Aankhen hain unki ya hain sharaab ka mehkhana, dekh kar jinko ho gaya hoon main deewana

Shayad Use Aziz Thi

Shayad Use Aziz Thi Aankhen Meri Bohat, Wo Mere Naam Apni Basaarat Bhi Kar Gaya, Dil Ka Nagar Ujaarne Wala Huner Shanaas, Taameer Hosalon Ki Amaarat Bhi Kar Gaya

Uske Liye Saari Duniya Se

Uske liye saari duniya se bagawat ki thi
Yaad aata hai maine bhi mohabbat ki thi
Usko chhod ke haste huye ghar aakar,
Itna roye the ki aankho ne b shikayat ki thi

Alfaaz Kuch Bhi Kahe

Alfaaz kuch bhi kahe par isse haqiqat nahi milti, Insaan k such jhut ki pehchan to uski aankho se hai