Aankhen Shayari - Page 3 - Hindi Shayari

Ek Din Usne Kaha Tha K

Ek Din Usne Kaha Tha K
Aankh Bhar K Dekh Liya Kro Mujhe

Aaj Aankh Bhi Bhar Aayi
Par Tum Kahi Nazar Hi Nhi Aay

Kal Raat Meri Aankh Mein Se

Kal Raat Meri Aankh Mein Se
Ek Aansu Nikal Aaya
Maine Ussey Puchha Tu Usne
Muskara Kr Yeh Batya
Koi Teri Ankhoon Mein Hay Itnaa Samayaa
Ki Main Chahh Kr Bhi Aapni Jaghan Na Bana Paya

Kabhi Kabhi Itni Shiddat

Kabhi Kabhi Itni Shiddat Se Bhi Tumhari Yaad Aati Hai
Mai Bs Palke Milaati Hu To Aankhey Bheeg Jati Hain

Teri Aankho Se Yeh Aansu

Teri aankho se yeh aansu ka dhalkana tauba,
maine girti hui konen ki keemat dekhi

Asar Lubhane Ka Payre

Asar lubhane ka pyare tere byan mein hai,
kisi ki aankh mein jaadu teri juban mein hai

Sharm Se Aankh Milate Nahi

Sharm se aankh milate nahi dekha unko,
paar hoti hai kaleje ke nigahe kyu kar

Aankho Hi Mein Rahe

Aankho hi mein rahe ho dil se nahi gaye ho,
hairan hu yeh sokhi aayi tumhe kaha se

Bhar Ke Aankho Mein

Bhar ke aankho mein aashu udhas baithe ho,
yeh kis gareeb ki turbat ke pass baithe ho

Ishara Na Ho Saka

Kis waqt behar-e-pursish-e-bhimar aaye wo,
jab aankh se bhi apni ishara na ho saka

Meri Aankhe

Meri Aankhe Aur Deedar Aapka,
Ya Qayamat Aa Gayi Ya Khawab Hai

Teri Chahat Ab Meri Aankhon

Teri Chahat Ab Meri Aankhon Me Hai
Teri Khushbu Meri Sanson Me Hai
Mere Dil Ko Jo Ghayal Kar Jaye
Aisi Ada Sirf Teri Baaton Me Hi Hai

Khamoshiyan Teri

Khamoshiyan Teri Mujhse Baatein Karti Hain
Meri Har Aah Har Dard Samajhti Hain
Pata Hai Majbuur Hai Tu Bhi Aur Main Bhi
Phir Bhi Aankhein Tere Deedar Ko Tarasti Hain

Aapse Dur Hokar

Aapse Dur Hokar Hum Jaaynge Kahan
Aap Jaisa Pyaar Hum Paayenge Kahan
Dil Ko Toh Kaise Bhi Samjha Lenge Lekin
Aankhon Ke Aansoon Chupaayenge Kahan

Pal Hain Ke Rukte Nahi

Pal Hain Ke Rukte Nahi Udte Hi Jate Hain Phir
Ankhon Ki Dehleez Pe Kaise Ruk Gaya Wo Ek Pal

Na Koi Dekh Le Tujhe

Na Koi Dekh Le Tujhe Ko Meri Aankhon Ke Raste Se
Teri Masoom Si Surat Chupaye Dil Mai Betha Hon

Loog Samajte Hain

Loog Samajte Hain Humne Tum Ko Bhula Rakha Hai
Woh Nahi Jante Dil Mein Chupa Rakha Hai
Dekh Na Le Koi Tumhe Meri Ankho Mein
Iss Dar Se Palkoon Ko Juka Rakha Hai

Tere Pyaar Bhari Aankhon Mein

Tere Pyaar Bhari Aankhon Mein Aansoo Achche Nahin Lagte
Chaahe Jitnaa Bhi Roye But Kabhi Sachche Nahin Lagte

Ashq Ankhnoon Main

Ashq Ankhoon Main Meri Dekh Kay Rotay Kyon Ho
Dil Bar Aata Hai To Pher Mujh Ko Rolatay Kyon Ho

Dur Isharo Se Kabhi Baat Nahi Hoti

Dur Isharo Se Kabhi Baat Nahi Hoti
Chand Aansu Bahane Se Barsat Nahi Hoti
Yeh Jindagi Koi Khawab Nahi Haqqit He
Aankhen Band Karlene Se Raat Nahi Hoti

Apni Aakhon Ke Samunder

Apni Aakhon Ke Samunder Main Utar Jaane De
Tera Mujrim Hoon, Mujhe Doub Ke Mar Jaane De
Zakham Kitne Teri Chaahat Se Mile Hain Mujhko
Sonchta Hoon Kahoon Tujhse, Magar Jaane De