Aankhen Shayari - Page 5 - Hindi Shayari

Tere Chehre K Naqoosh

Tere Chehre K Naqoosh Aisey Hain
Aankh Uthata Hoon! Bhatak Jata Hon
Teri Aankhon Se Terey Honton Tak
Safar Itna Hai Keh Thak Jata Hoon

Tere Chehre K Naqoosh

Aapni Aankhon Mein

Aapni Aankhon Mein Mera Naam Likh Do
Har Roz Tum Aapna Dil Mera Naam Kar Do
Agar Bhool Jaoge Humen Toh Mar Jayenge Hum
Tum Aapni Labon Ki Narm Khusbhu Mere Naam Kar Do

Aapni Aankhon Mein

Jab Bhi Haath Uthein

Jab Bhi Haath Uthein Hain Dua Ke Liye
Mere Labon Pe Tera Hi Naam Aaya
Kab Se Aankh Main Chupa K Rakha Tha
Tere Dukh Main Aaj Wohe Aanso Kaam Aaya

Jab Bhi Haath Uthein

Suna Hai

Suna Hai Band Kar Li Usney Aankhen
Kai Raaton Se Wo Soya Nahin Thaa

Suna Hai Band Kar Li Usney Aankhen

Bahut Dur Magar Bahut Paas

Bahut Dur Magar Bahut Paas Rehte Ho
Aankhon Se Dur Magar Dil Ke Paas Rehte Ho
Mujhe Bas Itna Bataa Do Ae Dost
Kya Tum Bhi Mere Bina Udaas Rehte Ho

Bahut Dur Magar Bahut Paas

Soochtay Hi Rahay

Sochtay Hi rahay Pochain Ge Teri Aankhon Say
Kis Say Seekha Hai Huner Dil Main Utar Janay Ka

Soochtay Hi Rahay

Mehakti Hai Teri Aankhen

Mehakti Hai Teri Aankhen
Madhosh Karti Hai Kyo Mujhe
Sagar Se Teri Aankhen
Uns Jagati Hai Mujhme
Takti Mujhe Teri Aankhen
Ishq Ka Jaam Pilaye Mujhe
Teri Aankhen Yeh Teri Aakhen
Deewana Banati Hai Mujhe

Mehakti Hai Teri Aankhen

Faasle Jism Ko To Door

Faasle Jism Ko To Door Le Jaate Hain,
Par Dilon Ke Shahar To Ujarte Nahi,
Aankhon Se Aankhon Ka Rishta Tut Jaye Bhi To,
Saath Dekhe Hue Khwab Kabhi Mittey Nahi

Faasle Jism Ko To Door

Unki Aankhon Mein Andaz

Unki Aankhon Mein Andaz Bade Hi Gehre Rehte Hain
Chhup Chhup Ke Wo Taaron Se Hamari Batein Kehte Hain
Jab Koi Puchta Hai Unse Is Lutf-e-Zindgi Ki Wajah
Na Jane Kyu Wo Nazren Jhukaye Muskurate Rehte Hain

Unki Aankhon Mein Andaz

Khoobsurat Tumhari Aankhen

Khoobsurat Tumhari Aankhen,
Aankhon Mein Haya Bhi Hai
Inpe Duniya Main Vaar Deta,
Par Ye Cheez Khuda Ki Hai

Aankhon Mein Haya Bhi Hai

Aankhon Mein Neend

Aankhon Mein Neend Na Dil Mein Qarar
Aye Door Rahnewale Har Waqt Tera Hi Intezar

Tumhare Bhi Dil Mein

Tumhare Bhi Dil Mein Humare Liye Kahin Pyar Hai Shayad
Warna Tumhari Ankhen Yun Na Roti Hum Se Juda Hote Hue

Tumhare Bhi Dil Mein

Thodi Thodi Sanso K Liye

Thodi Thodi Sanso K Liye,Humne Zindagi Bechi,
Parchhaiyon Se Tang Aa K,Humne Roshni Bechi,
Aankho Mein Bas Aansu Hi Reh Gaye,
Varna Duniawalon Ne To Dosti Bhi Bechi

Thodi Thodi Sanso K Liye

Mohabat K Sapnay

Mohabat K Sapnay Dikhatay Bohat Hai
Wo Raaton Main Hum Ko Jagatay Bohat Hai
Mai Ankhon Mai Kajal Lagaon To Kaise
In Ankho Ko Log Rulatay Bohat Hai

Mohabat K Sapnay

Tumhari Aankh Se Bhar Loon

Tumhari Aankh Se Bhar Loon Suroor Aankhon Mein
Nazar Nazar Se Milaao Ke Main Sharaab Hoon

Tumhari Aankh Se Bhar Loon

Tumhari Aankh Se Bhar Loon

Tapish Sooraj Ki Hoti Hai Jalna Zameen Ko Perta Hai
Qasoor Ankhoun Ka Hota Hai Tarepnaa Dil Ko Prta Hai

Tapish Sooraj Ki Hoti Hai Jalna Zameen Ko Perta Hai

Duriyo Ki Parwa Na Kijiye

Duriyo Ki Parwa Na Kijiye
Jab Dil Chahe Bula Lijye
Hum Zada Dur Nahi Aap Sy
Bus Ankhon Ko Palko Se Mila Lijye

Duriyo Ki Parwa Na Kijiye

Tumhari Aankhon Ki Kya Taarif Karon

Tumhari Aankhon Ki Kya Taarif Karon
Bas Inme Doob Jane Ki Khwahish Hai
Pehle Hi Teri Ada Ke Deewane Hain
Ab Kis Baat Ki Gunjaish Hai

Tumhari Aankhon Ki Kya Taarif Karon

Dekho Meri Ankhon Mein Khwab

Dekho Meri Ankhon Mein Khwab Kiske Hain
Dekho Mere Dil Me Toofan Kiske Hain
Tum Kehte Ho Mere Dil Ke Raaste Se Koi Nahi Gaya
To Phir Ye Pairon Ke Nishaan Kiske Hain

Dekho Meri Ankhon Mein Khwab

Aapse Door Hokar

Aapse Door Hokar Hum Jayenge Kahan,
Aap Jaisa Yaar Hum Phir Payenge Kahan,
Dil Ko To Kaise Bhi Samjha Hi Lenge,
Par In Aankhon Ke Aansuon Ko Chupayenge Kahan

Aapse Door Hokar