Zindagi wo jo guzar jaye,
Ansoo wo jo beh jaye,
Khusi wo jo mil jaye,
Gam wo jo beet jaye,
Magar DOST Wo jo HUMESHA sath nibhaye.
Jaam pe jaam pine se kya fayada,
Shaam ko pee subaha phir utar jayegi,
Peena hai to do bund dosti ke pee,
Sari zindagi teri nashe mein guzar jayegi.
Dost ka pyar dua se kam nahi hota,
Woh chahe door ho phir bhi koi gham nahi hota,
Aksar pyar mein dosti kam ho jati hain,
Magar dosti mein pyar kabhi kam nahi hota.
Dosti nazron se ho to use kudrat kehate hain,
Sitaron se ho toh jannat kehate hain,
Aankhon se ho toh mohabbat kehate hain,
Aur dosti aap se ho toh kismat kehate hai.
Hamari Us Sitare Se Dosti Ho Gyi,
Jise Dekh kr Savera Ho Jye,
Socha Chura Lu Use Asman Se,
Phir Socha Khi Asman Me Andhera Na Ho Jye.
Na rahe Koi Gila Is Qadar Wafa Denge,
Apki Ek Khushi Ki Khatir Ansu Tak Baha Denge,
Kabhi Na Bholenge Apki Dosti Ko Hum,
Dor Reh Kar Bhi Apko Dil Se Dua Denge.
Duniya mein jeene ke bhane hazar hote hain,
Jo jeete hain bina dosti ke woh bekar hote hai,
Jo karte hain sachchi dosti ki kadar,
Bas wahi is dosti ke haqdar hote hai.
Pyar se pyara shabd hai “D-o-s-t-i”,
Jeene ka shara hai “D-o-s-t-i”
“D-o-s-t-i” se shikwa kabhi na karna,
Kyunki doston ki jaan hai “D-o-s-t-i”
Khushi ki parchhaiya ka naam ha zindgi,
Gamo ki gahhriyo ka naam ha zindgi,
Ek pyaara sa yaar hai humara,
Usi ki pyari si hassi ka naam hai zindgi,
Yadon ke sahare duniya nahi chalti,
Bina mile kabi mehfil nahi banti.
Ek baar dil se pukaaro to dost,
Doston ki chahat ke bina, ye dhadkan nahi chalti.