Chhedati Hain Kabhi Lab Ko Kabhi Rukhsaaron Ko,
Tum Ne Zulfon Ko Bahut Sar Pe Chadhaa Rakha Hai.
Mukhalif Baad-E-Sarsar Mein Zara Lahraane Do Zulfen,
Isi Mein Hum Watan Ka Apne Parcham Dekh Lete Hain,
Nazar Se Aasman Ko Dekhna Bhi Kya Zaroori Hai,
Teri Zulfon Mein Jaanam Kahkashan Hum Dekh Lete Hain.
Andaz apna dekhte hain aaine mein vo,
Zulfein sanwar kar kabhi zulfein bigar kar.
Zaahid Ne Mera Haasil-E-Imaan Nahin Dekha,
Rukh Par Teri Zulfon Ko Pareshaan Nahin Dekha.
Poocha jo in se chand nikalta hai kis tarah,
Zulfon ko rukh pe dal k jhatka dia keh yun.
Zulfon Ki To Fitrat Hai Lekin Mere Pyare,
Zulfon Se Bhi Zyada Balkhaye Chalo Ho.
Rukh-E-Taabaan To Huwa Jaan Ka Khwahaan Paida,
Dil Phansaane Ko Huwi Zulf-E-Prishaan Paida.
Ghani zulfon k saye mein chamakta chand sa chehra,
Tujhe dekhon to kuch ratein sohani yaad aati hain.
Kya Poochte Ho Ishq Hai Zulf-E-Dona Ke Saath,
Ham Teera-Bakht Rahte Hain Kali Bala Ke Saath.