Shayari About Bachpan - Hindi Shayari

Kash Ke Mai Waqt

Kash Ke Mai Waqt Me Pichhe Ja Pata,
Kash Me Apna Wo Masoom Bachpan Wapis La Pata

Aab To Wo Din

Aab To Wo Din Kisse Kahaniyo Ki Tarah Lagte Hai,
Waisi Mouj To Door Ki Baat Ham To Aab Khul Ke Hasne Ko Taraste Hai.

Kahaan Gaya Mera Bachpan

Kahaan Gaya Mera Bachpan,
Wo Din Na Jaane Kaise Kho Diye,
Chont Kabhi Lagti Jab Humko,
Maa Ke Aanchal Me Chhip Kar Ro Diye.

Na Fikar Thi Na Koi Parsehani

Na Fikar Thi Na Koi Pareshani Dilo Dimag Me Rahti Thi,
Sari Thkan Mit Jati Thi Jab Maa God Me Le Kar “Mera Bacha” Pyar Se Kahti Thi…

Main Chonk Gaya

Main chonk gaya, dil dhadak utha,
Yaad aaya apna sapna,
Aankhon main phir paani aaya,
Haath se haath mala apna,
Dhundla dhundla yaad jo aata tha,
Wo tha gujra hua BACHPAN apna.

Jeb Me Ek Rupiye Ka Sikka

Jeb Me Ek Rupiye Ka Sikka Mujhe Badshahat Ka Maza Deta Tha,
Aaj Hazaron Ki Daulat Bhi Mujhe Wo Sukun Na De Payi

Bachpan Me Jab Dosto Ko

Bachpan me jab Dosto ko Bye kehte the to ye sochte the kal Fir Milenge,
Par ab jb Dosto ko Bye kehte he to sochte he Fir Na Jane Kb MILENGE.

Bda Yaat Aata Hai

Bda Yaad Aata Hai Mujhko Wo Bachpan Ka Zamana,
Wo Mitti Se Khelna Wo Barish Me Nahana

Kaash Ke Bachpan Mein

Kaash Ke Bachpan Mein Hi Tujhe Maang Lete,
Har Cheez Mil Jaati Thi Do Aansoo Bahane Se

Aye Kaash Main Phir Se Laut Jau

Aye Kaash Main Phir Se Laut Jau Bachpan Ki Wadi Me,
Tab Na Koi Zarrorat Thi Na Koi Zaroori Tha.

Bachpan Ke Din

Bachpan ke din kitne ache hote the,
Tab “DIL”nahi sirf “KHILONE” tota krte the,
Ab to ek ansu tak bhi saha nahi jata,
Aur Bachpan me jee bharkar roya krte the.

Yaad Aataa Hai Wo Bachpan

yaad aataa hai wo bachpan,
jab khushiyan kitni choti thi,
baag me titli ko pakad hansnaa,
taare todne jitnaa khush hote the,
paani me khud ko hi bhigo kar

Jo Pyar Ke Rishte

Jo pyar ke rishte hum banate hai,
use logo se kyun chupate hai,
Agar hota hai gunaah kisiko pyar karna,
to bachpan se sab pyar karna kyun sikhate hai

Woh Bachpan Ki Baatein

Woh Bachpan Ki Baatein Woh Bachpan Ki Yaadein,
Hum Ko Hardam Bahut Hi Yaad Aati Hain,
Ab Toh Humko Bas Yeh Dekhna Hain Baaki,
Ki Yeh Zindagi Humko Kahan Lekar Jati Hai.

Kagaz Ki Kshti Thi

Kagaz ki kshti thi, Pani ka kinara tha,
Khelne ki masti thi, Dil yeh awara tha,
Kahan aa gaye iss samajdari ke daldal mein,
Woh nadan bachpan hi kitna pyara tha.

Bachpann Ki Wo Amiri

Bachpann ki wo amiri na jane kahan kho gayi,
Jab baarish ke paani me humare bhi Jahaaj tairaa karte the.