Koi dard hi na ho mujhe aisa bana do,
mujhe Aap apne hi jaisa bana do,
maayoos hota hoon jab woh todte hai dil,
ek patthar ka dil mere bhi seene me laga do.
Zubaan khamosh ankhon mein nami hogi,
Yahi bas meri ek dastan-e-zindagi hogi,
Bharne ko toh har zakham bhar jayega,
Kaise bharegi wo jagah jaha teri kami hogi.
Mai banjar zameen par bota raha ishq ke beej..
Tera har wada sarkar ke muaawze sa nikla….
Kisi ke vaade par Zindagi tabah kar baithe,
Deewangi mein ye kaisa gunah kar baithe,
Ek chand ki aarzoo ke liye,
Apni haseen raton ko fanah kar baithe..
Wo humare kab they jo beghane ho gaye,
Zara se baat thi kya Fsane ho gaye,
Kya use ilzaam du kya sunaye Haal_e_Dil ab koi hoga naya hum purane ho gaye.
Dard mai har koi muskura nahi sakta,
Apne dil ki baat mai sabko bata nahi sakta,
Yeh roshni lene walo khud mehsus kar lena,
Chirag jal sakta hai lekin apni taklif bata nahi sakta…
kisi ko pyar ki sachhayi mar dalegi,
kisi ko dard ki gaharayi mar dalegi,
Bichhad ke koi jee nahi sakata,
jo bach gaya use tanhayi mar dalegi..
Apni taqdeer mein toh kuch aise hi silsle Likhe hain..!
Kisi Ne waqt Guzarne ke liye Apna bana liya
To kisi Ne Apna bana kar waqt guzar liya..!
Uski Chahat Se Ikrar Na Krte,
Uski Kasmo Pe Aitbar Na Karte,
Pata Hota Hum Sirf Mazak Hai Unke Liye,
Kasam Se Jaan Dete Magar Pyar Na Karte….!.