Shayari On Aitbaar
Yeh Such Hai Doston Kisi Se
Yeh Such Hai Doston Kisi Se Pyaar Na Karna,
Kabhi Kisi Ka Aitbaar Na Karna,
Tham Ke Khanjar Apne Hi Hathon Mein,
Bedardi Se Apne Dil Par Vaar Na Karna.
Zindagi Kya Koye Nisaar Kare
Zindagi Kya Koye Nisaar Kare,
Kise Dunya Mai Koye Pyar Kare,
Apna Saya Bhi Apna Doshman Hai,
Kaun Ab Kis Ka Aitbaar Kare.
Aap Ka Aitbar Kaun Kare
Aap Ka Aitbar Kaun Kare
Hashr Ka Intezaar Kaun Kare
Ba’d Mein Phir Khizaan Ka Hai Khatka
Aarzoo-E-Bahaar Kaun Kare
Yak Ba-Yak Pher Li Nazar Tum Ne
Tum Par Ab Aitbaar Kaun Kare
Din Hai Tareek Jab Nigahon Mein
Farq Lail-O-Nahaar Kaun Kare
Main Ab Bhi Girte Howe Paniyo Ki
Main Ab Bhi Girte Howe Paniyo Ki Qaib Mai Hoon,
Aik Aabshar Mere Char So Bhi Tak Hai,
Koi Gumaan Mujhe Tum Se Door Kaise Kare,
Ke Aitbar Mere Char So Abhi Tak Hai.
Kahaan Wo Ummeed Aamad
Kahaan Wo Ummeed Aamad Kahan Ye Ifaa-E Ahad-E-Farda,
Jab Aitbaar-E-Nazar Na Tha Kuch Ab Aitbaar-E-Nafas Nahin Hai.
Na Gul Koi Hai Sabaat
Na Gul Ko Hai Sabaat Na Ham Ko Aitbaar,
Kis Baat Par Chaman Havas-E-Rang-O-Bu Karen.
Aye Dost Humko Saath Itna Do
Aye Dost Humko Saath Itna Do Ke Had Na Rahe,
Magar Aitbaar Bhi Itna Karna Ke Shaq Na Rahe,
Hamse Wafa Itni Karna Ke Kabhi Bewafai Na Ho,
Aur Dua Bus Itni Karna Ke Kabhi Judai Na Ho.
Is Tarah Khush Hoon Kisi Ke
Is Tarah Khush Hoon Kisi Ke Wada-E-Farda Pe Main,
Dar-Haqeeqat Jaise Mujh Ko Aitbaar Aa Hi Gaya.
Kismat Pe Aitbaar Kisko Hai
Kismat Pe Aitbaar Kisko Hai,
Mil Jaye Pyar Tu Inkar Kisko Hai,
Kuch Mujburiyn Hai Zindagi Ki,
Warna Tanhaien Se Pyar Kisko Hai.
Too Ne Qasam Mai Kashi Ki
Too Ne Qasam Mai Kashi Ki Khaai Hai ‘Ghalib’
Teri Qasam Ka Kuchch Aitbaar Nahin Hai.