Shayari About Forgetting - Hindi Shayari

Tum Mujhse Chootkar

tum mujhse chootkar rahe sabki nigaah me,
me tumse chootkar kisi kaabil nahi raha.

Tum Mujhse Chootkar

Khuda Ki Shaan

khuda ki shaan, jinhe baat kar na aati thi,
wo ab kare hai sawaalo-janaab aankho mein.

Khuda Ki Shaan

Mai Dar Raha Hu

me dar raha hu tumhaari nasheeli aankhon se,
Na loot le ye kisi roj kuch pilaake mujhe.

Mai Dar Raha Hu

Najar Jiski Taraf Karke

najar jiski taraf karke nigaahein fer lete ho,
kayaamat tak fir uss dil ki pareshani nahi jati.

Najar Jiski Taraf Karke

Ijhar-E-Mohabbat Par

Ijhar-e-mohabbat par iss tarah wo sharmaye,
sab ki haya meri aankho mein utar aayi.

Ijhar-E-Mohabbat Par

Nam Mein Baat Karta

Na mein baat karta agar janta,
ki yu baat karne mein jaayegi raat.

Nam Mein Baat Karta

Raste Mein Aaj Unse

Raste mein aaj unse mulaqat ho gayi,
jee dar raha tha jisse wahi baat ho gayi.

Raste Mein Aaj Unse

Kisse Bichdi Kaun Mila

kis-se bichdi kaun mila tha bhul gayi,
kaun bura tha kaun accha tha bhul gayi.

Kisse Bichdi Kaun Mila

Bahut Dino Se Mera

bahut dino se mera uska samna na hua,
mujhe bhi umar hui hai use bhulaye hue.

Bahut Dino Se Mera

Samay Ki Dhund Mein Chup

samay ki dhund mein chup jaate hain taaluk,
bahut din tak kisi ki aankh se ojhal na rahiye.

Samay Ki Dhund Mein Chup

Mil Rahi Ho Bade

mil rahi ho bade tapaak ke sath,
Mujko bilkul bhula chuki ho kya.

Mil Rahi Ho Bade

Tum Bhula Do Hamari

tum bhula do hamari yaadon ko,
hum to dil se juda nahi karte.

Tum Bhula Do Hamari

Waada Karke Bhulne

waada karke bhulne wale shab-e-firaaq,
tujko aaj neend na aaye khuda kare.

Waada Karke Bhulne

Apne Markaj Ki Tarah

Apne markaj ki tarah maiyle-parbaaj tha husn,
bhulta nahi aalam teri angdayi ka.

Apne Markaj Ki Tarah

Ek Bar Tujhe Akal Ne

ek bar tujhe akal ne chaha tha bhulna,
sau bar junoon ne teri tasvir dikha di.

Ek Bar Tujhe Akal Ne