Har Kamyabi Pe Aap Ka Naam Hoga,
Apke Har Qadam Pay Duniya Ka Salam Hoga,
Mushkilon Ka Samna Himmat Sey Karna,
Dua Hai Ek Din Waqt Bhi Apka Ghulam Hoga.
मेरी हिम्मत को परखने की गुस्ताखी न हो,
पहले भी कई तूफानों का रुख मोड़ चुका हु .
Lehron se darr kar nauka paar nahi hoti,
Himmat karne vaalon ki haar nahi hoti,
Nanhi cheenti jab dana lekar chalti hai,
Chadti deewaron par se saw baar fisalti hai,
Mann ka vishwaas ragon mein sahas bharta hai,
Chadkar girna,girkar chadna naak ragardta hai,
Aakhir uski mehnat bekaar nahi hoti,
Koshish karne vaalon ki haar nahi hoti!
तेरी सुबह-ओ-ऐश है क्या बला, तुझे ऐ फ़लक जो हो हौसला,
कभी करले आके मुक़ाबिला, ग़म-ए-हिज्र-ए-यार की शाम से.
Parindo” ko nahi di jati taaleem udaano ki,
Woh khud hi tai karte hai manzil aasmano ki,
Rakhta hai jo hausla asman ko chune ka,
Usko nhi hoti parwah gir jane ki.
Aandhiyon me bhi jaise kuch chirag jala kartey hai,
Utni hi himmat-e-hausla hum bhi rakha kartey hai,
Manzilon abhi aur dur hai hamari,
Manzil Chaand sitarey to raahon me mila kartey hai.
Darr Mujhe Bhi Laga Faasla Dekhkar,
Par Main Badhta Gaya Raasta Dekhkar,
Khud b Khud Mere Najdeek Aati Gayi Meri Manjil Mera Hausla Dekhkar.