Shayari About Dil - Hindi Shayari

Tujhko Apni Jaan Ka

Tujhko Apni Jaan Ka Salam Likhenge,
Dil Ki Kitab Me Apne Arman Likhenge,
Agar Mil Jaye Aasman Ki Hukumat,
To Sitaro Ki Jagah Tera Naam Likhenge.

Tujhko Apni Jaan Ka

In Aankhon Mein Aur Koi

In Aankhon Mein Aur Koi Ab Basta Nahi Hai,
Ek Aapko In Aankhon Mein Basaane Ke Baad,
Yeh Dil Mera Ab Kahi Aur Lagta Nahi Hai,
Ik Aap Se Is Dil Ko Lagane Ke Baad.

In Aankhon Mein Aur Koi

Aapki Iss Dil Lagi Main

Aapki iss dil lagi main hum apna dil kho bethe,
Kal tak us khuda ke the aaj hum apke ho bethe,
Ishq suna toh tha ki apna deewana bana leta hai,
Par aaj khud karke hum bhi apne hosh kho bethe hain.

Aapki Iss Dil Lagi Main

Aakar Aap Ab Jana Nahi

Aakar Aap Ab Jana Nahi,
Dil Ko Mere Tarsana Nahi,
Hum De Chuke Hain Dil Aapko,
Todkar Isko Tadpana Nahi.

Aakar Aap Ab Jana Nahi

Ek Raat Rab Ne Mere Dil Se

Ek raat rab ne mere DIL se pucha,
Tu dosti me itna kyo khoya hai,
Tab Dil bola Dosto ne hi di hai saari khushiya,
Warna pyar karke to Dil hamesha roya hai.

Ek Raat Rab Ne Mere Dil Se

Wo Jo Sar Jhuka Ke Baithe Hain

Wo Jo Sar Jhuka Ke Baithe Hain,
Hamara Dil Churaye Baithe Hain,
Humne Unse Kaha Hamara Dil Hume Lauta Do,
To Bole Hum To Hatho Mein Mehendi Laga Ke Baithe Hain.

Wo Jo Sar Jhuka Ke Baithe Hain

Mere Nazdeek Aa Ke Dekh

Mere Nazdeek Aa Ke Dekh Mere Ehsaas Ki Shiddhat,
Mera Dil Kitna Dharakta Hai Sirf Tere Naam Ke Saath.

Mere Nazdeek Aa Ke Dekh

Bhale Hi Raah Chalton Ka

Bhale Hi Raah Chalton Ka Daaman Tham Le,
Magar Mere Pyar Ko Bhi Tu Pahchan Le,
Kitna Intezaar Kiya Hai Tere Ishq Mein,
Jara Yeh Dill Ki Betaabi Tu Jaan Le.

Bhale Hi Raah Chalton Ka

Do Baate Unse Ki Toh

Do baate unse ki toh dil ka dard kho gaya,
Logo ne humse poocha ki tumhe kya ho gaya,
Bekarar aankho se sirf hans ke reh gaye,
Ye bhi na kah sake ki hume pyar ho gaya.

Do Baate Unse Ki Toh

Patthar Dil Bana Gaya

Apne karam se wo mera mukaddar bana gya,
Ek katre ko pal bhar me samundar bana gya,
Phulo se bhi jyada naram tha kabi dil ye mera,
Jise itna tadpaya ke ab patthar dil bana gaya.

Patthar Dil Bana Gaya

Dil Yeh Mera Jane Kab Se

Har pal tera nazar-e-deedar dhoondhta hai,
Tujhe yaad karne ke bahane hazaar dhoondhta hai,
Ek baar hi sahi na shareek-e-khayalat ho zalim,
Dil yeh mera jane kab se sukun-o-karaar dhundta hai.

Dil Yeh Mera Jane Kab Se

Yeh Doori Aur Humse

Yeh Doori Aur Humse Sahi Nahi Jaati,
Tere Paas Aane Ko Dil Karta Hai,

Bhula Kar Saare Duniya Bhar Ke Ghamon Ko,
Tere Aagosh Mein So Jaane Ko Dil Karta Hai.

Yeh Doori Aur Humse

Chehre Pe Mere Zulf Ko

Chehre Pe Mere Zulf Ko Phailao Kisi Din,
Kya Roz Garajate Ho Baras Jao Kisi Din,
Khushbu Ki Tarah Guzro Mere Dil Ki Gali Se,
Phoolon Ki Tarah Mujh Pe Bikhar Jao Kisi Din.

Chehre Pe Mere Zulf Ko

Woh Jo Hamare Liye

Woh Jo Hamare Liye Khas Hote Hain,
Jinke Liye Dil Mein Ehsaas Hote Hain,
Chahe Waqt Kitna Bhi Door Kar De Unhe,
Door Reh Ke Bhi Woh Dil Ke Paas Hote Hain.

Woh Jo Hamare Liye

Meri Chaahatein Tumse Alag

Meri chaahatein tumse alag kab hain,
Dil ki baatein tum se chhupi kab hain,
Tum saath raho dil me dhadkan ki jagah,
Phir zindagi ko saanso ki zarurat kab hai.

Meri Chaahatein Tumse Alag

Dil Ki Nazuk Dhadkano Ko

Dil ki nazuk dhadkano ko,
Mere sanam tumne dhadkana sikha diya,
Jab se mila hai tera pyaar dil ko,
Gham ne bhi muskurana sikha diya.

Dil Ki Nazuk Dhadkano Ko

Ruth Jao Kitna Bhi

Ruth jao kitna bhi mana lenge,
Dur jao kitna bhi bula lenge,
Dil aakhir dil hai sagar ki ret to nhi,
Ki naam likh kar usse mita denge..!

Ruth Jao Kitna Bhi

Dil Lagta Nahi Ab Tumhare Bina

दिल लगता नहीं है अब तुम्हारे बिना,
खामोश से रहने लगे है तुम्हारे बिना,
जल्दी लौट के आओ अब यही चाह है,
वरना जी ना पाएँगे तुम्हारे बिना |

Dil Lagta Nahi Ab Tumhare Bina

Jis Tarah Ragon Me

Jis Tarah Ragon Me Khoon Rehta Hai,
Ussi Tarah Mujhe Teri Chahat Ka Junoon Rehta Hai,
Zindagi Ki Har Khushi Mansoob Hai Tumse,
Baat Ho Tum Se To Dil Ko Sukoon Rehta Hai….!!

Jis Tarah Ragon Me

Udaas Hu Par Tujhse Naraj Nahi

उदास हूँ पर तुझसे नाराज़ नहीं,
तेरे दिल में हूँ पर तेरे पास नहीं,
झूठ कहूँ तो सब कुछ है मेरे पास,
और सच कहूँ तो तेरे सिवा कुछ नहीं।

Udaas Hu Par Tujhse Naraj Nahi