Munnawar Rana Shayari - Hindi Shayari

Yaad Rakh Hum Bhi Isi Roo-E-Zameen

Yaad rakh Hum bhi isi Roo-e-zameen par ek din,
Tera ye Zulam kisi ko bhi Na Sehne denge,
Sirf Thodi si Madad Ghaib se mil jaane de,
Hum Tujhe Duniya ke Naqshe pe na rehne denge.

Ek Neewale Ke Liye Maine Jise Maar Diya

Ek Neewale Ke Liye Maine Jise Maar Diya,
Woh Parinda Bhi Kai Roz Ka Bhukha Nikla.

Ye Jo Kalam Dawat Liye Kandho Pe

ये जो कलम दवात लिये कंधों पे फिरा करते हैं,
मर भी जाएं तो भी शायर नही होने वाले..

Saare Hawa Mein Ghol Di Hai

सारे हवा में घोल दी है नफरतें और हवास अहल ए सियासत ने
मगर न जाने क्यों पानी कुँए का आज तक मीठा निकलता है.

Haye Wo Daure Zindagi

हाय वो दौरे ज़िन्दगी, जिसका लक़ब शबाब था,
कैसी लतीफ़ नींद थी, कैसा हसीं ख़्वाब था…..

Ye Toh Theek Hai Teri Jafa Bhi Hai

यह तो ठीक है तेरी जफ़ा भी है एक अता मेरे वास्ते,
मेरी दुआओं की कसम तुझे, कभी मुस्कुरा के भी देख ले.

Ek Halat Par Na Rehne Payi

एक हालत पर न रहने पायी दिल की हसरते,
तुमने जब देखा नए अंदाज से देखा मुझे.

Khud Apne Aapko Shadab Karna Chahta Hai

ख़ुद अपने आपको शादाब करना चाहता है,
ये कलम का फ़क़ीर आपको आदाब करना चाहता है !

Ghazal Aur Shayari Ki Saltanat

ग़ज़ल और शायरी की सल्तनत पर आज भी क़ब्ज़ा हमारा है
इसलिए तो हम अपने नाम के आगे अभी राना लगाते हैं.

Meri Neki Ginne Ki Naubat

मेरी नेकियाँ गिनने की नौबत ही नहीं आएंगी,
मैंने जो माँ पे लिखा है वही काफ़ी होगा…

Kuchh Roz Se Hum Sirf Yahi Soch Rahe Hain

Kuchh roz se hum sirf yahi soch rahe hain,
ab hum ko kisi baat ka ghum kyon nahin hota.

Patthar hun toh kyon todne waale nahin aate,
sar hun toh tere saamne kham kyon nahin hota.

Jab maine hi shahzaadi ki tasweer banaai,
darbaar mein ye haath kalam kyon nahin hota.

Paani hai toh kyon zaanib-e dariya nahin jaata,
aansoo hai toh tezaab mein zam kyon nahin hota. !!

Halaanky Humein Laut Ke Jana

Halaanky humein laut ke jana bhi nahin hai,
kashti magar iss baar jalaana bhi nahin hai.

Talwaar na chhoone ki kasam khayi hai lekin,
dushman ko kaleje se lagana bhi nahin hai.

Ye dekh ke maqtal mein hansi aati hai mujh ko,
saccha mere dushman ka nishaana nahin hai.

Main hun.. mera baccha hai.. khilono ki dukaan hai,
ab mere paas koi bahaanaa bhi nahin hai.

Pehle ki tarah aaj bhi hain teen hi shaayar,
ye raaz magar sab ko bataana bhi nahin hai. !!

Fazan Mein Ghol Di Hai Nafratein

Fazan mein ghol di hai nafratein ahal-e-siyasat ne,
magar pani kuyen se ab tak mitha nikalta hai.

Woh Ja Rahai Hai Ghar Se

Woh ja raha hai ghar se janaaza buzurg ka,
aangan mein ek darakht puraana nahin raha.

Gum Se Fursat Hi Kahan Hai

Gum se fursat hi kahan hai ki tujhe yaad karun,
Itni laashen hain ton kandha nahin badla jata,
Umar ek talkh haqeeqat hai dosto phir bhi,
Jitne tum badle ho Utna nahin badla jata.

Miya Mai Sher Hoon

मियाँ मैं शेर हूँ ,शेरों की गुर्राहट नहीं जाती,
मैं लहजा नर्म भी कर लूँ तो झुंझलाहट नहीं जाती,
मैं एक दिन बेख्याली में कहीं सच बोल बैठा था,
मैं कोशिश कर चुका हूँ ,मुंह की कड़वाहट नहीं जाती!

Mohabbat Mein Tumhe Aansoo Bahaana

Mohabbat mein tumhe aansoo bahaana nahin aaya,
banaaras mein rahe aur paan khana nahin aaya.

Na jaane log kaise mom kar dete hain patthar ko,
humein toh aap ko bhi gudgudana nahin aaya.

Shikaari kuchh bhi ho itna sitam achchha nahin hota,
abhi toh chonch mein chidiya ke daana tak nahin aaya.

Ye kaise raaste se le ke tum mujh ko chale aaye,
kahan ka maikada, ek chaaikhana tak nahin aaya. !!

Bas Itni Si Baat Par Usane

Bas itni si baat par usane hamein balavaai likkha hai,
hamare ghar ke baratan pe aaiesaai likkha hai.

Hawa Ke Rukh Pe Rehne Do Ye

Hawa ke rukh pe rehne do ye chalna seekh jaayega,
ki bachcha ladkhadayega toh chalna seekh jaayega.

Woh pehron baith kar Tote se baatein karta rehta hai,
chalo achchha hai ab nazarein badalna seekh jaayega.

Issi ummeed par hum ne badan ko kar liya chhalni,
ki patthar khaate khaate ped phalna seekh jaayega.

Ye dil bachche ki soorat hai isey seene mein rehne do,
bura hoga jo ye ghar se nikalna seekh jaayega.

Tum apna dil mere seene mein kuchh din ke liye rakh do,
yahan reh kar ye patthar bhi pighalna seekh jaayega. !!

Aap Se Mil Ke Ye Ehsaas Hai Baaki

Aap se mil ke ye ehsaas hai baaki,
ki abhi iss siyaasat mein bhi insaan kharaa milta hai,
Ye siyaasat hai toh phir mujh ko izaazat di jaaye,
jo bhi milta hai yahan khwaaza-saraa milta hai!