Kuchh Roz Se Hum Sirf Yahi Soch Rahe Hain


Kuchh roz se hum sirf yahi soch rahe hain,
ab hum ko kisi baat ka ghum kyon nahin hota.

Patthar hun toh kyon todne waale nahin aate,
sar hun toh tere saamne kham kyon nahin hota.

Jab maine hi shahzaadi ki tasweer banaai,
darbaar mein ye haath kalam kyon nahin hota.

Paani hai toh kyon zaanib-e dariya nahin jaata,
aansoo hai toh tezaab mein zam kyon nahin hota. !!

Leave a comment