Ek Raat Hui Barsaat Bahut
Main Roya Saari Raat Bahut
Har Gham Tha Zamaane Ka Lekin
Main Tanha Tha Us Raat Bahut
Phir Aankh Se Ek Saawan Barsa
Jab Sehar Hui To Khyal Aaya
Woh Baadal Kitna Tanha Tha
Jo Barsa Saari Raat Bahut
Lo aaj Phir Ronay Laga hai Asmaan,
Ban ke Barish,
Shayad Aaj us ko Phir
Ehsas Hua Hai Meri Tanhai ka
Meri Zindagi Mujhe Ye Bata,
Mujhe Bhula Ke Tujhe Kya Mila,
Meri Hasrato Ka Jawab De,
Mujhe Rula Ke Tujhe Kya Mila,
Tere 4 Din Ke Pyar Se,
Mujhe Umar Bhar Ka Gam Mila,
Mai To Toot Ke Bikhar Gaya,
Magar Mujhe Tod Ke Tujhe Kya Mila
जिंदगी देने वाले, मरता छोड़ गये,
अपनापन जताने वाले तन्हा छोड़ गये,
जब पड़ी जरूरत हमें अपने हमसफर की,
वो जो साथ चलने वाले रास्ता मोड़ गये
Tanha rehne ko majbur ho gaya hoon main,
Tujhe yaad karke zamaane Se kho gaya hoon main,
Yun na jgaa mujhe gehri neendon se zalim,
Odh ke kafan kabar mein so gaya hoon main
Ek Pal Ka Ehsas Bankar Ate Ho Tum
Dosre Hi Pal Khuwab Bankar Ur Jate Ho Tum
Janty Ho K Lagta Hia Dar Tanhaiyo se
Phr Be Bar Bar Tanha Chor jate ho Tum
Wo aksar tanha chhod jate hain
Bas mera dard mere sath rah jata hai
Main hanskar gale lag jata hu
Jab dard akela rah jata hai
Waqt Guzrega Toh Hum Sambhal Jayenge
Maut Se Pehla Samajh Jayenge
Ki Bewafai Unki Fitrat Hai, Na Ki Majburi
Tanhai Mein Hi Sahi, Hum Phir Se Bus Jayenge
Ajib tarah se socha tha zindgi k liye..
jina marna tha sirf usi k liye.
wo mujhko tanha chhod gye to
yaqeen aaya ki koi bhi nhi marta kisi k liye
Akela Mehsoos Karo Jab Tanhai Mein
Yaad Meri Aaye Jab Judai Mein
Main Tumhare Pass Hun Har Pal
Jab Chahe Dekh Lena Apni Parchhayi Mein