Khud Me Hum Kuch Is Tarah Kho Jate Hai,
Sonchte Hai Aapko To Aapke Hi Ho Jaate Hai,
Nind Nahi Aati Raton Me Par,
Aapko Khwab Me Dekhne Ke Liye So Jate Hai.
Khuda Ne Mujhse Kaha,
Ishq Na Kar Tu Deewana Ho Jayega,
Maine Kaha Aey Khuda,
Tu Un Se To Mil, Tujhe Bhi Ishq Ho Jayega.
Mana ki tere sehar mai garib kum honge,
Agar biki teri dosti to pehle khariddar hum honge,
Tuje khabar na hogi teri kimat par,
par Tuje paakar sabse ameer Ham honge.
PHOOL KHILKAR UDAAS HAI,
SAMANDAR KO AAJ PAANI KI PYAAS HAI,
EK BAAR AAP MUSKURA DO SANAM,
KYONKI KHUDA KO DUNIYA KI,
SABSE “KHUBSOORAT” HANSI KI TALAASH HAI…
Teri Ankhain jab jhuki to hya ban gyi,
Teri Ankhain jab jhuk kar uthi to nasha ban gyi,
Hame to pta hi nhi chala ae dost,
kab is dil Mein tumare liye jgha ban gyi……..
ek khubsurat si shaam jaise hote hai,
azmaat ke unche mukaam jaise hote hai,
banke kiran woh bikherte hai roshni,
kuchh log apne hi naam jaise hote hai…!
Wafa ke rang me dubi har sham tere liye,
Ye dagar, ye nagar mera naam tere liye,
Tu mehkati rahe chandni raton ki tarah,
Iss nayi subha ka paigam tere liye,
Apne hotho par sajana chahta hun,
Aa tujhe main gungunana chahta hun,
Koi aansu tere daman par girakar,
Bund ko moti banana chahta hun,
Aakhari hichki tere jane pe aaye,
Maut bhi main shayrana chahta hun…!
Mohabbat ka matlab intezaar nahi hota,
Har kisi ko dekhna pyar nahi hota,
Yun to milta h roj mohbaat-e-paigam,
Pyar jindagi h jo har baar nahi hota.
ye kaun aa gai dilruba mehki mehki,
fizaa mehki mehki hawa mehki mehki,
vo aankhon mein kajal vo baalon mein gajra,
hatheli pe uske hina mehki mehki,
khuda jane kis-kis ki ye jaan legi,
vo qatil ada vo saba mehki..