Pyar Bhara Hua Dil Hai Magar Kiseeko De Nahi Sakta,
Vishwas Bhara Hua Mann Hai Magar Kisi ko Dikha Nahi Sakta,
Dil Me Ummeedein Bahuth Hai Jinka Intzaar Nahi Kar Sakta,
Magar Kisi Kone Me Ek Vishwas Hai Jo Kahtha Hai Ki,
Yeh Samay Ka Khel Hai Jise Tu Rok Nahi Sakta.
Ab to hum tere liye ajnabi ho gaye,
Baato ke silsile bhi kam ho gaye,
Khushiyo se jyada hamare paas gam ho gaye,
Kya pata ye waqt bura hai ya bure hum ho gaye.
Najane kyu waqt is trha chala jata hai,
Jo waqt bura hai wo palat ke samne ata hai,
Aur jis waqt ko hum chate hai,
Wo waqt ek lamha bankar beet jata hai.
Waqt Ka Har Ik Chalan Badal Dein,
Chalo Nizaam-E-Kohan Badal Dein,
Banayein Nayzon Ko Lafz Aur Hum,
Ada-E-Shair-O-Sukhan Badal Dein…
Aaj Waqt Nahi Hai Unke Paas Hamare Liye
Pehle Waqt Hi Waqt Tha
Waqt-Waqt Ki Baat Hai..!!
Na Wo Din Rahe Na Wo Mehfilain,
Na wo Jaan Se Azeez Log,
Waqt Cheen K Le gya Mujh Se,
Mere Apne KAHAN KAHAN.
Wo Tha To Kahin Waqt Thehrta Hi Na Tha,
Ab Waqt Guzrne Mein Bohat Waqt Lagta Hai
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Lye Waqt Nahi,
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi,
Dil Hai Ghamon Se Bhara Hua,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi,
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.