Halaanky Humein Laut Ke Jana
Halaanky humein laut ke jana bhi nahin hai,
kashti magar iss baar jalaana bhi nahin hai.
Talwaar na chhoone ki kasam khayi hai lekin,
dushman ko kaleje se lagana bhi nahin hai.
Ye dekh ke maqtal mein hansi aati hai mujh ko,
saccha mere dushman ka nishaana nahin hai.
Main hun.. mera baccha hai.. khilono ki dukaan hai,
ab mere paas koi bahaanaa bhi nahin hai.
Pehle ki tarah aaj bhi hain teen hi shaayar,
ye raaz magar sab ko bataana bhi nahin hai. !!

More Entries
- Faraz Ab Koi Sauda Koi Junoon Bhi Nahin
- Main Aap Apni Talaash Mein Hoon
- Jab Tumhari Aankh Ho Gehre Samundar
- Khushi Ki Baat Hai Ya Dukh Ka Manzar
- Ranj-E-Firaaq-E-Yaar Main Ruswaa
- Kabhi Hum Bheegate Hain
- Mujhe Khud Se Hain Shikaytain
- Tujhe Yaad Karte Hain
- Pukarti Hai Khamoshi Meri
- Iss Aas Me Chala Jaunga