Shayari About Barish - Page 2 - Hindi Shayari

Jab Jab Aata Hai

Jab Jab Aata Hai Yeh Barsaat Ka Mausam Teri Yaad Sath Hoti Hai Hamdum,
Socha Is Mausam Mein Tujhe Yaad Nhi Karenge,
Par Fir Socha Ki Hum Barish Ko Kaise Rok Payenge

Rimjhim Barsati Barsaat Mein

Rimjhim barsati barsaat mein
Milane jab bhi tum aati ho
Pani ki yeh bondein tum par
Kyun itna sitam mujh per dhati ho

Is Dafa To Barishain Rukti

Is dafa to barishain rukti hi nahin Faraz,
Hum ne kya aansu piye k saray mausam ro paray.

Bin Badal Barsaat Nahin Hoti

Bin badal barsaat nahin hoti,
Suraj doobe bina raat nahin hoti,
Ab kuchh aise haalat hain hamare ki,
Aapko dekhe bagair din ki shuruwat nahin hoti.

Mausam Hai Barish Ka

Mausam hai barish ka aur yad tmhari aati hai,
Barish k har aik katre se aawaz tmhari aati hai,
Badal jab garajte hain dil ki dharkan barhti hai,
Aur dil ki har ek dharkan se aawaz tumhari aati hai,
jab taiz hawaein chalti hain to jaan humari jati hai,
Mausam hy barish ka aur yaad tumhari aati hai.

Is Barish K Mausam Me

Is barish k mausam me ajeeb si kashish hai
Na chahte hue bhi koi shidat se yaad aata hai.

Mausam Hai Barish Ka

Mausam hai barish ka aur yaad tumhari aati hai,
Barish ke har qatre se awaz tumhari aati hai.

Badal jab garajte hain, dil ki dharkan badh jati hai,
Dil ki har ek dharkan se awaz tumhari aati hai.

Jab tez hawayein chalti hai to jaan hamari jati hai,
Mausam hai barish ka aur yaad tumhari aati hai.

Lo Aaj Phir Ronay Laga

Lo aaj Phir Ronay Laga hai Asmaan,
Ban ke Barish,
Shayad Aaj us ko Phir
Ehsas Hua Hai Meri Tanhai ka

Mujhe Maar Hi Na Dale

Mujhe maar hi na dale in badlon ki sazish,
Ye jb se baras rahe hain tum yaad aa rhe ho.

Kisne Bheege Hue

Kisne bheege hue baalon se ye jhatkaa pani,
Jhoom ke aayi ghata toot ke barasa pani.

Koi matawali ghata peeke jawani ki umang,
Dil baha le gaya barsat ka pehala pani.

Na Wo Mausam Rahe

Na wo mausam rahe,
na wo numaishe,
na wo ghata rahi,
na wo khawahishe,
lamho ki barish ne aisa bhigoya hai hame,
ki na wo sawan rahe, na wo barishe.

Kabhi Ji Bhar Ke Barasna

Kabhi Ji Bhar Ke Barasna, Kabhi Bond Bond Ke Liye Tarasna,
Ay Barish Teri Aadatein Mere Yaar Jesi Hain

Aye Barish Zara Tham Ke Baras

Aye barish zara tham ke baras,
Jab mera yaar aa jaye to jam ke baras,
Pehle na baras ki woh aa na sake,
Phir itna baras ki woh ja na sake.

Tumko Barish Pasand Hai

Tumko barish pasand hai… mujhe barish me TUM,
Tumko hasna pasand hai… mujhe hastey hue TUM,
Tumko bolna pasand hai… mujhe boltey hue TUM,
Tumko sab kuch pasand hai.. aur mujhe bas TUM

Mera Shaher To

Mera Shaher To Baarishon Ka Ghar Thehra,
Yahan Ki Aankh Ho Ya Dil, Bahot Barasti Hain

Barsat Ki Bheegi Raaton Mein

Barsat ki bheegi raaton mein fir koi suhani yaad aayi,
Kuchh apna jamana yaad aaya kuchh unki jawani yaad aayi,
Hum bhool chuke the jisne hamein duniya mein akela chhor diya,
Jab gaur kiya to ek surat jaani pehchani yaad aayi.

Aaj Barish Main

Aaj barish main tere sang nahana hai,
Sapna yeh mera sadioon purana hai..
Barish ka qatra jo tujh par gire..
Us qatre ko apne hantoon se lagana hai.

Mausam Hai Barish Ka

Mausam hai barish ka aur yaad tumhari aati hai,
Barish ke har qatre se awaz tumhari aati hai,

Badal jab garajte hain, dil ki dharkan badh jati hai,
Dil ki har ek dharkan se awaz tumhari aati hai,

Jab tez hawayein chalti hai to jaan hamari jati hai,
Mausam hai barish ka aur yaad tumhari aati hai.

Ab Kon Se Mausam Se

Ab Kon Se Mausam Se Koi Aas Lagaye,
Barsaat Mein Bhi Yaad Na Jab Un Ko Hum Aye.

Khyalon Mein Wahi

Khyalon mein wahi, sapno mein wahi,
Lekin unki yaadon mein hum the hi nahi,
Hum jaagte rahe duniya soti rahi,
Ek baarish hi thi, jo humare sath roti rahi.