Shayari About Wafa - Page 2 - Hindi Shayari

Mohabbat Ko Dolat Ki Nazar Se

Mohabbat Ko Dolat Ki Nazar Se Na Dekh Ae GHALIB,
Ahl-E-Wafa Aksar Gareeb Huwa Kartay Hain…!

Mohabbat Ko Dolat Ki Nazar Se

Khubsurti To Bahot Di Khuda Ne Tumhe

Khubsurti to bahot di khuda ne tumhe,
Magar hame tumhari wafa na mil saki,
Bahut aag di humne bujte chirag ko,
Magar mohabbat ki sama use jala na sakhi.

Khubsurti To Bahot Di Khuda Ne Tumhe

Vafaa Ke Khvaab Muhabbat Ka

Vafaa Ke Khvaab Muhabbat Ka Aasara Le Jaa
Agar Chalaa Hai To Jo Kuchh Mujhe Diyaa Le Jaa

Maqaam-E-Suud-O-Ziyaan Aa Gayaa Hai Phir Jaanaan
Ye Zakhm Mere Sahii Tiir To Uthaa Le Jaa

Yahii Hai Qismat-E-Saharaa Yahii Karam Teraa
Ki Buund Buund Ataa Kar Ghataa Ghataa Le Jaa

Nadaamaten Hon To Sar Baar-E-Dosh Hotaa Hai
‘Faraz’ Jaan Ke Evaz Aabaruu Bachaa Le Jaa

Vafaa Ke Khvaab Muhabbat Ka

Kya Ummid Kare Hum Tum Se

Kya ummid kare hum tum se,
Jinko aapni wafa malum nahi,
Gam dena malum hai lekin,
Gam ki dawa jinko malum nahi.

Kya Ummid Kare Hum Tum Se

Tumhara Ishq Tumhari Wafa Hi Kaafi Hai

Tumhara Ishq Tumhari Wafa Hi Kaafi Hai
Tamaam Umr Yehi Aasra Hi Kaafi Hai

Jahan Kahin Bhi Milo, Mil Ke Muskura Dena
Khushi Ke Wastey Yeh Silsila Hi Kafi Hai

Mujhe Bahaar Ke Mausam Se Nahi Kuch Lena
Tumhare Pyar Ki Rangeen Fiza Hi Kaafi Hai

Yeh Log Kaun Si Manzil Ki Baat Karte Hain?
Musaafiron Ke Liye Tu Raasta Hi Kaafi Hai

Tumhara Ishq Tumhari Wafa Hi Kaafi Hai

Tum Se Mil Kar Mujhe Yeh Ilm Huwa

Tum se mil kar mujhe yeh ilm huwa,
Kitna naazuk wafa ka pehlu hai,
Mein ne aksar hawa ki aahat mein,
Jis ki dastak suni hai Woh Tu hai.

Tum Se Mil Kar Mujhe Yeh Ilm Huwa

Pyar Sabhi Ko Jeena Sikha Deta Hai

Pyar Sabhi Ko Jeena Sikha Deta Hai,
Wafa Ke Naam Pe Marna Sikha Deta Hai,
Pyar Nahi Kiya To Karke Dekho,
Zalim Har Dard Sahena Sikha Deta Hai.

Pyar Sabhi Ko Jeena Sikha Deta Hai

Ek Shaks Ki Chahat Ka Armaan

Ek shaks ki chahat ka armaan raha aksar,
Jo jan kar bhi sab kuch anjan raha aksar,
Ye pyar muhabat ka hai khel khuda jany kaisa,
K jis ne wafa ki us ko NuQsan raha aksar,
Aata hai wo nendon me rehta hai wo khwabon me,
Ek yahi to us ka mujh pe Ehsan raha aksar.

Ek Shaks Ki Chahat Ka Armaan

Mai Kahu Na Kahu Yeh Aankhein

Mai Kahu Na Kahu Yeh Aankhein Bata Deti Hain,
Mere Dil Ka Dard Yeh Sab Ko Suna Deti Hain,
Jis Ne Bhi Yahan Pyaar Kiya, Ussi Ne Yeh Jaana Hai,
Mohabbatein Aur Wafa’en Kya Sila Deti Hain!

Mai Kahu Na Kahu Yeh Aankhein

Di Kisi Se Tabb Hi Lagaana

Dil kisi se tabb hi lagaana jab dilon ko padhna seekh lo,
Warna har ek chehrey ki fitrat mein wafadaari nahi hoti.

Di Kisi Se Tabb Hi Lagaana

Han Chalo Jhoot Sahi

Han Chalo Jhoot Sahi Wahday Wafa Ho Jatay,
Yoon Bichadtay K Mairay Lab Py Dua Ho Jatay,
Kiya Zaroorat Thi Zamaanay Ko Khabr Karny Ki,
Ghar Jalana Tha To Chupkay Say Diya Ho Jatay.

Han Chalo Jhoot Sahi

Kisi Aur Ki Khawabo Me Reh Kar Wo Hamse

Kisi Aur Ki Khawabo Me Rehkar Wo Hamse Wafa Ki Baate Karte He,
Ye Kaisi Mohabbat He Mere Dosto,
Wo Bewafa He Ye Jaanakar Bhi,
Ham Unhi Se Wafa E Mohabbat Karte He.

Kisi Aur Ki Khawabo Me Reh Kar Wo Hamse

Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Wafa Dete

Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Wafa Dete,
Har Ik Ne Dokha Diya Kis Kis Ko Saza Dete,
Ye Hamara Zarf Tha Ke Khamosh Rahe Warna,
Daastan Sunatey To Mehfil Ko Rula Dete.

Koi Mila Hi Nahi Jis Ko Wafa Dete

Wafa Ki Keemat Pata Chal Jayegi

Wafa Ki Keemat Pata Chal Jayegi Kabhi Mujhe Aazma K Toh Dekh,
Kabhi Mere Aansuon Ko Apni Ankhon Pe Saza K Toh Dekh,
Mere Dard Ko Mehsus Karna Hai Toh,
Kabi Kisi Bewafa Se Pyar Ka Rishta Nibha K Toh Dekh.

Wafa Ki Keemat Pata Chal Jayegi

Mohabbat Kar Ke Dekhi Toh

Mohabbat Kar Kay Dekhi Toh Mohabbat Ko Pehchana Hai,
Wafa Buss Naam Ki, Bewafai Ka Fasana Hai.

Mohabbat Kar Ke Dekhi Toh

Na Ziker Kar Meri Aada K Bare Mein

Na Ziker Kar Meri Aada K Bare Mein,
Hum Bhi Jante Hain Sab Kuch Wafa K Bare Mein,
Sunna Hai Woh B Mohabbat Ka Shouq Rekhte Hain,
Jinhe Khud Khabar Nahi Kuch Wafa K Bare Mein.

Na Ziker Kar Meri Aada K Bare Mein

Ek Zara Si Bhool Khata Ban Gayi

Ek Zara Si Bhool Khata Ban Gayi,
Meri Wafa Hi Meri Saza Ban Gayi,
Dil Lia Aur Khel Kar Torr Dia,
Hamari Jaan Gayi Aur Un Ki Ada Ban Gayi.

Ek Zara Si Bhool Khata Ban Gayi

Wafa Mein Ab Ye Hunar

Wafa Mein Ab Ye Hunar Ikhtiar Karna Hai,
Woh Sach Kahe Na Kahe Aetbar Karna Hai,
Ye Tujko Jagte Rehna Ka Shouk Kabse Hoa,
Mojhe Tu Khair Tera Intezar Karna Hai.

Wafa Mein Ab Ye Hunar

Meri Nigah-E-Kamal Ka Intikhab Ho Tum

Meri Nigah-E-Kamal Ka Intikhab Ho Tum,
Husan K Phoolo May Haseen Gulab Ho Tum,
Log Kehtay Hain Dosto May Wafa Nahi Hoti,
Logon K Sab Sawalon Ka Jawab Ho Tum.

Meri Nigah-E-Kamal Ka Intikhab Ho Tum

Khuda Kisi Ko He Aisa Kamaal Deta Hai

Khuda Kisi Ko He Aisa Kamaal Deta Hai,
Jo Aynye Ko B Herat Main Dal Deta Hai,
Baraye Naam B Jis Ko Wafa Nahi Ati,
Wo Dosroon Ko Wafa Ki Misaal Deta Hai.

Khuda Kisi Ko He Aisa Kamaal Deta Hai