Shayari About Tears - Page 4 - Hindi Shayari

Kash Koi Is Trha Bhi Waqif Ho

Kash koi is trha bhi waqif ho meri Zindagi se,
Ki mai Barish mai bhi roun to mere ansu pad le.

Kash Koi Is Trha Bhi Waqif Ho

Waqt-E-Judai Woh Roti Rahi Magar

Waqt-E-Judai Woh Roti Rahi Magar ,
Aankhon Mein Mere Aansuon Ne Kar Liya Basera……

Waqt-E-Judai Woh Roti Rahi Magar

Jab Se Dekhi Hain Wo

Jab Se Dekhi Hain Wo BheeGi Howi Aankhein …
Hanstay ChehRon Pe Bhi Ronay Ka GumaaN Hota Hai……..!

Jab Se Dekhi Hain Wo

Main Hans K Jhel Leta Hoon

Main Hans K Jhel Leta Hoon Judai Ki Sabhi Rasmein
Gale Jab Uske Lagta Hoon To Aankhen Bheeg Jaati Hain..!!

Main Hans K Jhel Leta Hoon

Kisi Ne Hume Rulaya

Kisi ne hume rulaya to kya bura kiya,
Dil ko dhukaya tho kya bura kiya,
Hum to pehlese hi tanha the….
Kisi ne ehasas dilaya to kya bura kiya.

Kisi Ne Hume Rulaya

Le Lo Waapis Wo Aansu

le lo waapis wo aansu,
wo tadap aur wo yaadein saari,
nahi koi jurm mera,
tu phir ye sazaaien kaisi.

Le Lo Waapis Wo Aansu

Usski Jafaao’n Ne Mujhe

Usski jafaaao’n ne mujhe tahzeeb sikha di hai Mohsin,
Main rote hue so jaaata hoo’n par shikwa nahi karta……

Usski Jafaao'n Ne Mujhe

Woh Kehte The Roonay Se

woh kehte the roonay se nahi badalte naseeb
unn ki iss baat ne umar bhar roonay bhi na diya !!

Woh Kehte The Roonay Se

Teri Ibtida Bhi Ansoo

Teri Ibtida Bhi ans0o..Teri Inteha Bhi Aahain…!!!
Tu Hi Bta Muhabbat ..Tujhe Kis Bina Pa chahein ?

Teri Ibtida Bhi Ansoo

Jin Logon Ki Yaad Se

jin logon ki yaad se ankhen bhar aaien,
Un logon ko yaad na karna aacha hai.

Jin Logon Ki Yaad Se

Jab Tera Dard Mere Sath

Jab Tera Dard Mere Sath Wafa Karta Hai,
Ek Samandar Meri Aankhon Se Baha Karta Hai,
Jab Khizan Aai Tu Laut Aaye Ga Woh Bhi Faraz,
Woh Baharon Main Zara Kum Mila Karta Hai ..!!!

Jab Tera Dard Mere Sath

Chand Anso Hain Nadamat Ki

Chand anso hain nadamat k meri ankhon me,
Aur to kuch bhi nahin muj se gunehgar k pass.

Chand Anso Hain Nadamat Ki

Iss Duniya Mein Aansu Ki Kimat

Iss duniya mein aansu ki kimat wo kya jane,
Jo har baat pe aansu bahate rehte hai,
Aansu ki kimat hamse pucho aye dosto,
Jo gam me bhi har waqt muskurate rahte hai.

Iss Duniya Mein Aansu Ki Kimat

Sirf Chehre Ki Udasi Par

Sirf chehre ki udasi par aaye ansuu,
Dil ka alam to abhi aap ne dekha hi nahin.

Sirf Chehre Ki Udasi Par

Qurbaton Me Bhi Judai Ke

Qurbaton me bhi judai ke zamane mange,
Dil wo be mohar k rone ke bahane mange.

Qurbaton Me Bhi Judai Ke

Waqt Khosh Khosh Katane Ka

Waqt khosh khosh katane ka mashwara dete hue,
Ro para wo app muj ko hosala dete hue.

Waqt Khosh Khosh Katane Ka

Tum Ko Bhi Rona Aata Hoga

Tum ko bhi rona aata hoga apni kamoshi par
jab insan lagaty hay,tehainyon par ghaat darakhton !

Tum Ko Bhi Rona Aata Hoga

Bedard Zamane Ka Bahana Sa

Bedard Zamane Ka Bahana Sa Bana Kar
Hum Toot Ke Rote Hain Teri Yaad Me Aksar

Bedard Zamane Ka Bahana Sa

Aankhon Mein Namii Si Hai

Aankhon Mein Namii Si Hai, Chup Chup Se Woh Baithe Hai
Nazuk Si Nigaahon Mein Nazuk Saa Fasanaa Hai…

Aankhon Mein Namii Si Hai

Saleeqa Ho Agar Bheegi Palkoon Ko

Saleeqa Ho Agar Bheegi Palkoon Ko Parhne Ka,
To Behte Hue Ansoon Aksar Baat Kerte Hain..

Saleeqa Ho Agar Bheegi Palkoon Ko