Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Mere maula teri janat se judaa lagti hai,
Meri dharti mujhe masoom dua lagti hai..
Humne jo deep jalaye hain teri galiyon mein,
Apne kuch khawb sajaye hain, teri galiyon mein,
Jaane yeh ishq hai ya koi karamat apni,
Chaand le ker chale aaye hain, teri galiyon mein,
Tazkraa ho teri galiyon ka to dar jata hai,
Dil ne woh zakhm uthaye hain, teri galiyon mein,
Is liye bhi teri galiyon se humain nafrat hai,
Hum ne armaan ganwaye hain, teri galiyon mein,
Kyon har ik cheez adhoori si lagti hai,
Jaane kya chorr aye hain, teri galiyon mein..
Hum tere hijar mein andar se bikhar jate hain,
Zinda lagte hain magar asal mein mar jate hain,
Jab kabhi bolta hai hai hanss ke kisi aur se tu,
Kitne khanjar mere seeney mein utar jate hain,
Teri yaadon ki agar’batiyan jal uthte hi,
Hum tere dard ki khushbu’on se bhar jate hain,
Hum se awaara phira karte hain galiyon mein kahin,
Shaam hote hi Wasi log to ghar jaate hain..
Ashkk girte rahe, dhol bajta raha,
Log marte rahe, dhol bajta raha,
Ronqain lag gayi’n, roshni barh gayi,
Khawab jalte rahe, dhol bajta raha,
Kitne lachaar they, kitne be’bas they hum,
Hath milte rahe, dhol bajta raha,
Raqss they maseeha mere dam-be’dum,
Dil tarrapte rahe, dhol bajta raha..
Charha Hua Tha Jo Darya Utar Gaya Kab Ka,
Tumhara Chaahnay Waala Tou Mar Gaya Kab Ka,
Na Meri Rooh Meri Hai Na Mera Jism Mera,
Tera Wajood Tou Mujh Mein Utar Gaya Kab Ka,
Wo Ik Shakhs Jo Sab Ko Sambhaalay Rakhta Tha,
Tumhain Khabar Hee Nahi Hai Bikhar Gaya Kab Ka,
TU Jis Ke Waadon Ko Dil Se Lagaye Baitha Hai,
Wo Apni Baat Se Pyaaray Mukar Gaya Kab Ka,
“Wasi” Mein Ishq Mein Ro Bhi Chuka Hun Mar Bhi Chuka Hun,
Hudood-e-Jism Se Mein Tou Guzar Gaya Kab Ka.
Kab talak tujh pe inhisaar karain,
Kyon na ab doosron se pyar karoon,
Tu kabhi waqt per nahin pohancha,
Kis tarah tera aitbaar karain..
Tanzz karte hain jo log un ko dikhane ke liye,
Laut aao na mere yaar zamane ke liye,
Is liye bhi teri tasveer jala di mene,
Aur kuch tha hi nahin dil ko jalane ke liye,
Tere baayess hi to saktay ka hai aalam taari,
Khud ko naraaz kiya khud ko mananey ke liye,
Aaj phir shaam guzari hai usi jungle mein,
Un darakhton se tera naam mitaney ke liye,
Choomna kya usey aankhon se lagana kesa,
Phool jo coat se gir jaye uthaana kesa,
Apne honton ki haraarat se jagaao mujh ko,
Yoon sadaaon se dam’e’subaah jagana kesa..
Mere lehje mein jo aansu se utar aye hain,
Kitne barson ke sitam aankh main dar aye hain,
Tum gaye they to yeh dehleez na dekhi thi kabhi,
Aaj tum aaye to hum laut ke ghar aaye hain,
Jaane tanbeeha ki dhamki ke basharat hai koi,
Mere aangan mein jo tootay huye par aaye hain,
Ab hamain khauf hai jeeney ka na mar mitne ka,
Teri chokhat se jo aye hain to mar aye hain,
Woh mujhe chorr geya tha kisi rangeeni main,
Woh jo ab dhoondta rehta hai kharabon mein mujhe,
Tum ne ik umar kiya hai nazar’andaaz Wasi,
Aur ab dhoondte phirte ho saraabon mein mujhe,
Zaroob-o-taqseem Wasi ishq mein la’hasil hai,
Jaaney kyon khojtay rehte ho hisaabon mein mujhe..