Shayari

Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.

Latest Shayari

Diya Diya Se Jala Loon To

Diya diye se jala loon to chain aaye mujhe,
Tumhain galey se laga loon to chain aaye mujhe,

Mohabbton ke saheefay hain ya azaab koi,
Tere khatoot jala loon to chain aaye mujhe..

Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Wasi Shah Shayari

Roshni Aur Baharain Tumhi Rakhlo Jana

Roshni aur baharain tumhi rakhlo jana,
Mere jugnu mere mausam wapis kar do,

Meri hasrat, meri mehroomiyan lauta do mujhe,
Mere aansu, mere maatam mujhe wapis kar do,

Jane waley se bas itna hi kaha tha mene,
Kuch na lotao mere gham mujhe wapis kar do,

Kyon yeh takraar si hone lagi “Main” ki jana’n,
Woh to hum tum mein tha, ik “Hum” mujhe wapis kar do,

Jitni khushiyan hain woh rakh lo meri janib se Wasi,
Meri aankhon mein chupey namm mujhe wapis kar do..

Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Wasi Shah Shayari

Kahin Jaye Usey Meri Duyayein

Kahin jaye usey meri duyayein yaad karti hain,
Usey kehna usey meri wafayain yaad karti hain,

Main aksar aayiney ke samne bechain rehti hoon,
Kisi ne khat mein likha hai, adayain yaad karti hain,

Usey kehna khazayen aagayi hain ab to laut aye,
Usey kehna december ki hawaayain yaad karti hain,

Usey kehna ke aankhon mein ghanni badli si chaayi hai,
Jinhain dil pe barasna hai, ghatayain yaad karti hain,

Geya tha jab tu meri khawhishain bhi sath le jata,
Lahuu mein naachti kuch iltjaayain yaad karti hain..

Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Wasi Shah Shayari

Dya Dye Se Jalaa Loon Tou

Dya Dye Se Jalaa Loon Tou Chain Aaye Mujhe,
Tumhain Galay Se Laga Loon Tou Chain Aaye Mujhe,

Mohabbaton Ke Saheefay Hain Ya Azaab Koi ?
Tere Khatoot Jala Loon Tou Chain Aaye Mujhe.

Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Wasi Shah Shayari

Haaye Wo Lamha Ke Jab Tujh Se

Haaye Wo Lamha Ke Jab Tujh Se Shanasaayi Howi,
Phir Jo Honi Thi Meri Jaan Wo Ruswaayi Howi,

Apni Nakaam Mohabbat Ka Na Yun Charcha Karo,
Zakham Barh Jaye Ga Gar Is Ki Paziraayi Howi,

Phir Zamanay Mein Kisi Ne Ose Dekha Na Suna,
Tere Darbaar Mein Jis Shakhs Ki Shanwaayi Howi,

Jab Teri Yaad Ko Koi Bhi Thikaana Na Milay,
Meri Baahon Mein Chali Aati Hai Ghabraayi Howi.

Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Wasi Shah Shayari

Ab Magar Kuch Bhi Nahin

Ab magar kuch bhi nahin, kuch bhi nahin ho sakta,
Apne jazbon se yeh rangeen shararat na karo,

Kitni masoom ho, naazuk ho, hamaqat na karo,
Baar’haa tum se kaha tha ke mohabbat na karo..

Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Wasi Shah Shayari

Ajeeb Saanehaa Guzraa Hai Mujhpe

Ajeeb saanehaa guzraa hai mujhpe aaj ki sham,
Main aaj shaam tumhare hijar main udaas na tha,

Ab aik saal to yeh aik gham hi kaafi hai,
Tumhari salgiraah par bhi tumhare paas na tha..

Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Wasi Shah Shayari

Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se

Ye Kab Kaha Tha Nazaaron Se Khauf Aata Hai,
Mujhe Tou Chaand Sitaaron Se Khauf Aata Hai,

Main Dushmanon K Kisi Waar Se Nahi Darta,
Mujhe To Apne Hi Yaaron Se Khauf Aata Hai,

Khiza Ka Jabar Tou Seene Pay Rok Lete Hain,
Hamein Udaas Bahaaron Se Khauf Aata Hai,

Mile Hain Dosto Besaakhiyon Se Gham Itne,
Mere Badan Ko Sahaaron Se Khauf Aata Hai….

Main Iltifaat Ki Khandaq Se Door Rehta Hun,
Ta’alluqaat K Gaaron Se Khauf Aata Hai..

Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Wasi Shah Shayari

Dheere Se Sarakti Hai Rat Uske

Dheere Se Sarakti Hai Raat Us Ke Aanchal Ki Tarah,
Uska Chehra Nazar Aata Hai Jheel Main Kanwal Ki Tarah,

Baad Muddat Usko Daikha To Jism-o-Jaan Ko Yun Laga,
Pyasi Zameen Pe Jaisay Koi Baras Gaya Baadal Ki Tarah,

Roz Kehta Hai Seenay Pe Sar Rakh K Raat Bhar Jaga’uon Ga,
Sar-e-Sham Hee Mujhe Aaj Phir Sula Gaya Wo Kal Ki Tarah,

Mere Hee Dil Ka Makee.n Nikla Wo Shakhs “Wasi”,
Aur Mein Shehar Bhar Me Dhundta Raha Usy Kisi Pagal Ki Tarah.

Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Wasi Shah Shayari

Na Tumhe Hosh Rahe

Na tumhe hosh rahe or na mujhe hosh rahe,
Is qadar toot ke chaho mujhe pagal kar do..

Vote This Post DownVote This Post Up 0
Category: Wasi Shah Shayari