Samandar me le jaa kar fareb mat dena “Faraz”,
Tu kahe to kinaare pe doob jaon main.
Ajab chirag hun din raat jal raha hun “Faraz”
Mai thakk gaya hun hawa se kaho bujhaye mujhe.
Bada naaz tha unko apne parde pe “Faraz”,
Kal raat wo khawab me Sar-E-Aam chale aaye.
Teri is bewafai per fida hoti hai jaan apni “Faraz”,
Khuda jane agar tujhme wafa hoti to kya hota.
Hamare sabar ki inteha kya puchte ho “Faraz”,
Wo hum se lipat ke ro rahe the kisi aur ke liye.
Wo apne faayde k liye aa mile the hum se “Faraz”,
Hum naadaan samjhe k humari duaon me asar hai.
Zamane ke sawalon ko mai hans ke taal doon “Faraz”,
Lekin nami aankho ki kehte hai mujhe tum yaad aate ho.
Ishq ki raah me do hain manzilein “Faraz”,
Ya dil me utar jana, Ya dil se utar Jana.
Tamaam umar mujhe tootna bhikarna tha “Faraz”,
Wo meherbaan bhi Kahan tak samet ta mujhe.
Tumhari Duniya me hum jaise hazaron hai “Faraz”,
Hum hi pagal the jo tumhe pa ke itraane lage.