Ek hi zakham nahi sara badan zakhmi hai “Faraz”,
Dard Hairaan hai ki uthoon to kahaan se uthoon.
Aise dooba hoon teri yaad ke samandar me “Faraz”,
Dil ka dhadakna bhi ab tere kadmon ki sda laggti hai.
Kuch aise haadse bhi zindagi me hote hain “Faraz”,
Ke Insaan to bach jata hai magar zinda nahi rehta.
Akele to hum pehle bhi jee rahe the “Faraz”,
Kyun Tanha se ho gaye hain tere jane ke baad.
Wo shakas jo kehta tha tu na mila to marr jaunga “Faraz”,
Wo aaj bhi zinda hai yehi baat kise aur se kehne ke liye.
Jisko bhi chaha shiddat se chaha hai “Faraz”,
Silsila toota nahi dard ki zanzeer ka.
Wahan se ek pani ki boond na nikal saki “Faraz”,
Tamaam umar jin aankhon ko hum jheel likhte rahe.
Pyar me ik hi mausam hai baharon ka”Faraz”,
log kaise mausamon ki tarah badal jate hain.
Tapti rahi hai aas ki kiranon pe zindagi,
Lamhe judaiyon ke ma-o-saal ho gaye.
Ye zalzale yun hi besbab nahin aate,
Jaroor zameen ke neeche koi deewana tadpta hoga.