Ahmed Faraz Shayari - Page 4 - Hindi Shayari

Mehfil Se Uth Ke Jana To Koi

Mahafil se uth ke jana to koi baat nahin Faraz,
Mera mud mud ke dekhna use badnam kar gaya.

Mehfil Se Uth Ke Jana To Koi

Kaanch Ki Tarah Hote Hain

Kaanch ki tarah hote hain gareebon ke dil Faraz,
Kabhi toot jaate hain to kabhi tod diye jaate hain.

Kaanch Ki Tarah Hote Hain

Kitna Khauf Hota Hai Sham Ke Andheron

Kitna khauf hota hai sham ke andheron mein Faraz,
Poonch un parindon se jin ke ghar nahin hote.

Kitna Khauf Hota Hai Sham Ke Andheron

Main Apne Dil Ko Ye Baat

Main apne dil ko ye baat kaise samjhaun Faraz,
Ki kisi ko chahane se koi apna nhi hota.

Main Apne Dil Ko Ye Baat

Kabhi Kabhi To Ro Padti Hain Yun Hi Aankhe

Kabhi kabhi to ro padti hain yun hi aankhe,
Udaas hone ka koi sabab nahin hota.

Kabhi Kabhi To Ro Padti Hain Yun Hi Aankhe

Itna Na Yaad Aaya Karo Ki Raat Bhar

Itna na yaad aaya karo ki raat bhar so na sakein Faraz,
Subah ko surkh aankhon ka sabab poonchhate hai log.

Itna Na Yaad Aaya Karo Ki Raat Bhar

Kasoor Nahin Iss Mein Kuch Bhi

Kasoor nahin is mein kuch bhi unka Faraz,
Hamari chaahat hi itani thi ki unhein guroor aa gaya.

Kasoor Nahin Iss Mein Kuch Bhi

Hamare Baad Nahin Aayega Tumhe Chaahat

Hamare baad nahin aayega tumhe chaahat ka aisa maza Faraz,
Tum logon se khud kehate firoge ki mujhe chaaho to uski tarah.

Hamare Baad Nahin Aayega Tumhe Chaahat

Hajoom-E-Doston Se Jab Kabhi Fursat Mile

Hajoom-e-doston se jab kabhi fursat mile,
Agar samjho munasib to hame bhi yaad kar lena.

Hajoom-E-Doston Se Jab Kabhi Fursat Mile

Bas Yahi Aadat Uski Mujhe Achi Lagti Hai

Bas yahi aadat uski mujhe achi lagti hai Faraz,
Udaas karke mujhe wo bhi khush nahin rehta.

Hamne Suna Tha Ki Dost Wafa Karte Hai

Ham ne suna tha ki dost wafa karte hai Faraz,
JAb humne kiya bharosa to rivayat hee badak gai.

Hamne Suna Tha Ki Dost Wafa Karte Hai

Usse Bichhade To Maloom Hua Ki Maut

Usse bichhade to maloom hua ki maut bhi koi cheez hai Faraz,
Zindagi wo thi jo ham uski mehfil mein gujaar aaye.

Usse Bichhade To Maloom Hua Ki Maut

Wafa Ki Aaj Bhi Kadar Wahi Hai Faraz

Wafa ki aaj bhi kadar wahi hai Faraz,
Fakat mit chuke hain toot ke chaahane wale.

Wafa Ki Aaj Bhi Kadar Wahi Hai Faraz

Main Wafa Ka Kaun Sa Saleeka Ikhtiyaar

Main wafa ka kaun sa saleeka ikhtiyaar karoon Faraz,
Use yakin ho jaaye ke mujhe wo har ek se pyara hai.

Main Wafa Ka Kaun Sa Saleeka Ikhtiyaar

Wafa Ki Laaz Mein Usko Mana Lete

Wafa ki laaz mein usko mana lete to achcha tha Faraz,
Ana ki jang mein aksar judai jeet jaati hai.

Wafa Ki Laaz Mein Usko Mana Lete

Tum Mujhe Mauka To Do

Tum mujhe mauka to do aitbaar banaane ka Faraz,
Thak jaaoge meri wafa ke sath chalte chalte.

Tum Mujhe Mauka To Do

Kitabon Se Daleelein Doon Ya Khud Ko

Kitabon se daleelein doon ya khud ko saamane rakh doon Faraz,
Wo mujh se poonchh baithi hain muhabbat kisko kehate hai.

Kitabon Se Daleelein Doon Ya Khud Ko

Kis Kis Se Muhabbat Ke Wada Kiye Hain

Kis kis se muhabbat ke wade kiye hain tune Faraz,
Har roz ek naya shakhs tera naam poochhata hai.

Kis Kis Se Muhabbat Ke Wada Kiye Hain

Wo Jaanta Tha Ki Uski Muskurahat Mujhe

Wo jaanta tha uski muskurahat mujhe pasand hai Faraz,
Usne jab bhi dard diya muskurate hue diya.

Wo Jaanta Tha Ki Uski Muskurahat Mujhe

Ruth Jane Ki Adaa Ham Ko Bhi Aati Hai Faraz

Ruth jane ki adaa ham ko bhi aati hai Faraz,
Kaash hota koi ham ko bhi manaane waala.

Ruth Jane Ki Adaa Ham Ko Bhi Aati Hai Faraz