Shayari About Allah - Page 2 - Hindi Shayari

Main Aap Apni Talaash Mein Hoon

Main Aap Apni Talaash Mein Hoon
Mera Koi Rahnuma Nahin Hai
Woh Kya Dikhayen Ge Raah Mujh Ko
Jinhen Khud Apna Pataa Nahin Hai
Ye In Ke Mandir, Ye In Ki Masjid
Ye Zar-Paraston Ki Sajda-Gaahen
Agar Ye Inke Khuda Ka Ghar Hai
To In Mein Mera Khuda Nahin Hai

Main Aap Apni Talaash Mein Hoon

Is Saadgi Ko Kaun Na Apnaaye

Is Saadgi Ko Kaun Na Apnaaye Ai Khuda!
Dil Haath Bhi Uthaata Nahin Aur Dua Buland

Ek Ehsas Hai Khuda Kya Hai

Ek Ehsas Hai Khuda Kya Hai
Is Tasawwur Mein Doobna Kya Hai

Ek Ehsas Hai Khuda Kya Hai

Ai Khuda Muntazir Hain

Ai Khuda Muntazir Hain Barson Se
Aur Kab Tak Hidaayatein Gumsum

Ai Khuda Muntazir Hain

Sab Se Guzar Jaataa Hoon Main

Jab Makaan-O-Laa-Makaan Sab Se Guzar Jaataa Hoon Main
Allah-Allah Tujh Ko Khud Apni Jagah Paataa Hoon Main

Sab Se Guzar Jaataa Hoon Main

Main Ne Dil Raat Khuda Se

Main Ne Din Raat Khuda Se Ye Du’aa Maangi Thi
Koi Aahat Na Ho Dar Pe Mere Aur Tu Aaye

Main Ne Dil Raat Khuda Se

Arsh-O-Kursi Pe Kya

Arsh-O-Kursi Pe Kya Khuda Milta
Aagey Barhtey To Kuch Pata Milta

Arsh-O-Kursi Pe Kya

Khuda Is Shehr Ko

Khuda Is Shehr Ko Mehfooz Rakhe
Yeh Bachchon Ki Tarah Hunsta Bohat Hai

Khuda Is Shehr Ko

Ye Roz-Marra Ke Kuch

Ye Roz-Marra Ke Kuch Vaaqeyaat-E-Shaadi-Wa-Gham
Mere Khuda Yehi Insaan Ki Zindagaani Hai

Ye Roz-Marra Ke Kuch

Allah To Sab Ki Sunta Hai

Allah To Sab Ki Sunta Hai, Jurrat Hai ‘Shakeel’ Apni Apni
Haali Ne Zubaan Se Kuchh Na Kaha, Iqbal Shikaayat Kar Baithey

Allah To Sab Ki Sunta Hai

Khuda Ke Waastey Parda Na

Khuda Ke Waastey Parda Na Ka’bey Se Uthaa Zalim
Kahin Aisa Na Ho Yaan Bhi Wohi Kaafir Sanam Nikley

Khuda Ke Waastey Parda Na

Tujhe Is Se Ziyada Koi Samjha

Tujhe Is Se Ziyada Koi Samjha Hi Nahin Sakta
Khuda Woh Hai Jo Hadd-E-Aqal Mein Aa Hi Nahin Sakta

Tujhe Is Se Ziyada Koi Samjha

Button Se Tujhe Umeeden

Button Se Tujhe Umeeden Khuda Se Naa-Umeedi
Mujhe Bata To Sahi Aur Kaafiri Kya Hai

Button Se Tujhe Umeeden

Aa Jaao Ge Haalaat Ki

Aa Jaao Ge Haalaat Ki Zadd Per Jo Kisi Din
Ho Jaaye Ga Ma’loom Khuda Hai Ke Nahin Hai

Aa Jaao Ge Haalaat Ki

Baatein Bhi Ki Khuda

Baatein Bhi Ki Khuda Ne Dikhaaya Jamaal Bhi
Vallaah Kya Naseeb Janaab-E-Kaleem Tha

Baatein Bhi Ki Khuda

Jis Ko Bhi Sheikh-O-Shaah

Jis Ko Bhi Sheikh-O-Shaah Ne Hukm-E-Khuda Diya Qaraar
Hamne Nahin Kiya Woh Kaam Haan Baa-Khuda Nahin Kiya

Jis Ko Bhi Sheikh-O-Shaah

Khuda Aise Bandon Se

Khuda Aise Bandon Se Kyon Phir Na Jaaye
Jo Baitha Hua Maangna Jaanta Hai

Khuda Aise Bandon Se

Bada Sukoon Hai

Bada Sukoon Hai, Din Chain Se Guzarte Hain
Ham Ab Kisi Se Nahin Bas Khuda Se Darte Hain

Bada Sukoon Hai

Yaad-E-Khuda Ka Waqt

Yaad-E-Khuda Ka Waqt Bhi Aaye Ga Koi Ya Nahin ?
Yaad-E-Gunah Kab Talak Shaam-O-Sahar Namaaz Mein ?

Yaad-E-Khuda Ka Waqt

Gawaahi Kaise Tootti

Gawaahi Kaise Tootti, Mu’amla Khuda Ka Tha
Mera Aur Uss Ka Raabta To Haath Aur Dua Ka Tha

Gawaahi Kaise Tootti