Charcha Hua Tha Jo Darya Utar Gaya Kabka


Charha Hua Tha Jo Darya Utar Gaya Kab Ka,
Tumhara Chaahnay Waala Tou Mar Gaya Kab Ka,

Na Meri Rooh Meri Hai Na Mera Jism Mera,
Tera Wajood Tou Mujh Mein Utar Gaya Kab Ka,

Wo Ik Shakhs Jo Sab Ko Sambhaalay Rakhta Tha,
Tumhain Khabar Hee Nahi Hai Bikhar Gaya Kab Ka,

TU Jis Ke Waadon Ko Dil Se Lagaye Baitha Hai,
Wo Apni Baat Se Pyaaray Mukar Gaya Kab Ka,

“Wasi” Mein Ishq Mein Ro Bhi Chuka Hun Mar Bhi Chuka Hun,
Hudood-e-Jism Se Mein Tou Guzar Gaya Kab Ka.

charcha-hua-tha-jo-darya-utar-gaya-kabka
Category: Wasi Shah Shayari

Leave a comment