Shaab Tha Ke Sitaara
Sahaab Tha Ke Sitaara, Guraiz Paa Hee Laga,
Wo Apni Zaat Ke Har Rang Mein Hawa Hee Laga,
Mein Aisay Shakhs Ki Masoomiyat Pe Kia Likhuun ?
Jo Mujh Ko Apni Khataaon Mein Bhee Bhalaa Hee Laga,
Zabaa.n Se Chup Hai Magar Aankh Baat Karti Hai,
Nazar Uthaayi Hai Jub Bhee Tou Bolta Hee Laga,
Jo Khwaab Dene Pe Qaadir Tha, Meri Nazron Mein,
Azaab Daitay Howay Bhee Mujhe Khudaa Hee Laga,
Na Mere Lutf Pe Hairaan Hai Na Apni Uljhan Per,
Mujhe Ye Shakhs Tou Har Shakhs Se Judaa Hee Laga.

More Entries
- Khoob Karte Ho Dil Lagi Sahaab
- Bajaa Ke Aankh Mein Neendon Ke
- Thakan Se Raah Mein Chalna Muhaal
- Diyaar-E-Dil Ki Raat Mein Charaagh
- Wo Aks-E-Mauja-E-Gul Tha
- Waqt Ke Sath Anaasar Bhi Rahe
- Roshni Aur Baharain Tumhi Rakhlo Jana
- Duniya Ke Sitam Yaad Na Apni Wafaa Yaad
- Dya Dye Se Jalaa Loon Tou
- Mere Dukh Ki Koi Davaa Na Kro