Zakham Jab Mere Seene K Bhar Jayenge,
Aansu B Moti Bankar Bikhar Jaeenge,
Ye Mat Puchna Kis Kis Ne Dard Diya,
Warna Kuch Apno Ke Bhi Chehre Utar Jayenge.
Barbad Kar Geya Wo Zindagi Pyar K Nam Se,
Bewafai Mili Sirf Wafa K Nam Se,
Zakhm Hi Zakhm Diye Usne Dawa K Nam Se,
Khud Bhi Ro Para Wo Meri Mohabat Ke Anjam Se.
Kon Kise Dil Me Jagah Deta Hai,
Ped Bhi Sukhe Patte Gira Deta Hai,
Waakif Hai Hum Duniya Ke Rivaajo Se,
Jo Bhi Milta Hai Ek Naya Zakhm Deta Hai.
Main Zakhm Zakhm Hoon Ja Kar Miloon Kis Se,
Namak Se Tar Kapre Yahan Sab Pehne Hue Hain.
Dosti Jab Kisi Se Ki Jaye,
Dushmano Ki Bhi Raae Li Jaye,
Maut Kaa Zahar Hai Fizaaon Men,
Ab Kahaan Jaa Ke Saans Li Jaye,
Bas Isi Soch Men Huun Duubaa Huaa,
Ye Nadii Kaise Paar Ki Jaye,
Mere Maazii Ke Zakhm Bharane Lage,
Aaj Phir Koi Bhuul Ki Jaye,
Botalen Khol Ke To Pi Barason,
Aaj Dil Khol Ke Bhi Pi Jaye.
Kisi Dil Kusha Si Pukar Se Ussi Ek Bad-E-Bahar Se,
Kahi Barg Barg Namu Mili, Kahi Zakhm Zakhm Hara Huwa.
Bagair Jane Pehchane Ikrar Na Kijiye,
Muskurakar Dilko Bekarar Na Kijiye,
Phool Bhi De Jaate Hai Zakham Gehra Kabhi Kabhi,
Har Phool Pe Yun Aitbaar Na Kijiye.
Ae Zindagi Tu Kyon Meri Tamannayi Hai,
Yahan To Bas Dard Hai, Ashk Hain, Tanhayi Hai,
Pehli Si Mohabbat Mere Se Na Maang,
Mere Paas Bas Ab Zakham Aur Roosvai Hai.
Kaanch Chubhe Toh Zakhm Reh Jaate Hai,
Dil Toote Toh Armaan Reh Jaate Hai,
Lagaa Toh Deta Hai Waqt Marham Iss Dil Par,
Phir Bhi Umr Bhar Nishaan Reh Jaate Hai.
Kya Hai Ye Rishte, Ek Dhoka Hi To Hai,
Nadan Dilko Behlaneka Ek Samjhota Hi To Hai,
Rishte Ke Naampe Roz Dil Tutte Hai Yahan,
Kehneko Pyar Hai Par Gehra Zakham Hi To Hai.