Apne Hathon Se Chiraghon Ko Bujane Lag Jaien,
Tum To Kehte Ho K Hum Tikane Lag Jaien,
Os Ko Sochein To Rag-E-Jan Se Bhi Nazdeek Hai Wo,
Aor Dhondein To Kae Zamane Lag Jaien,
Hum Iss Aas Pe Bethe Hain Shikisht-E-Khayal,
Ain Mumkin Hai K Wo Ehd Nabhane Lag Jaien,
Mana K Zakhim Judai Ka Bohat Gehra Hai,
Aor Aisa Bhi Nahin Hai K Hum Dikhane Lag Jaien.
Zakham Dene Ka Andaz Kuch Aisa Hai,
Zakham De Kar Pochte Hain Ab Haal Kaisa Hai?
Kisi Aik Say Gila Kiya Karna Yaaro,
Saari Duniya Ka Mizaaj Aik Jaisa Hai.
Mohabbat Mein Laakhon Zakham Khaye Humne,
Afsos Unhe Hum Par Aitbar Nahi,
Mat Pucho Kya Gujarti Hai Dil Par,
Jab Vo Kehte Hai Hame Tumse Pyar Nahi..
Waqt Ke Is Mor Par Yeh Kaisa Waqt Aya Hai,
Zakhm Iss Dil Ka Zubaan Par Aaya Hai,
Nahi Rote The Hum Kanton Ki Chubhan Se,
Aaj Phoolo Ki Chubhan Ne Hume Rulaya Hai.
Ek Din Mere Dil Ko Jalan De Gaya,
Zindagi Mujhe Jeene Ka Kafan Dey Gaya,
Lakhon Pholo Mai Se Ek Phol Chuna Humne,
Jo Kanton Se Gehri Chuban Dey Gaya.
Dil Ke Zakham Dikhaye Nahi Dete,
Gam Ke Aansu Mai Pee Jaata Hoo,
Teri Yad Dil Se Bhulaie Nahi Jati,
Eshaliya Har Shal Giriting De Jataa Hoo.
Ab To Aadat Si Ho Gayi Hai Dard Sehne Ki,
Apne Hi Zakhmo Me Dub Kar Rehne Ki,
Khamosh Tanhai Me Ab Dil Lagta Hai,
Na Pukare Koi, Nigah Uthanese Bhi Dil Darta Hai.
Kuch Zakhm Sadiyoun Baad Bhi Taaza Rehte Hai,
Waqt Ke Paas Bhi Har Marz Ki Dawa Nahi Hoti.
Humari Aankhoon Mein Ansoo Ho To Kya Ho?
Woh Hum Se Khafa Ho Jayen To Kya Ho?
Hum Duniya Waloon Se Chup To Nahi Sakte,
Magar Apne Hi Zakhm Dein To Kya Ho?
Wo Tu Khushboo Hai Huwaoon Mein Bikhar Jayega,
Masla Phool Ka Hai Phool Kidher Jayega,
Hum Tu Samjhay Thay Ik Zakhum Hai Bher Jayega,
Kya Khaber The Rugh E Jaan Mein Utter Jayega.