Kaash Is Dil Ki Aawaz Mein Itna Asar Ho Jaye,
Hum Aapko Yaad Karein,Aur Khabar Ho Jaye,
Khuda Se Maangte Hain Ki Aap Jise Bhi Chaho,
Wo Zindagi Ki Raah Mein Apka Humsafar Ho Jaya.
Khalvat-E-Ummeed Mein Raushan Hai Ab Tak Vo Chiraagh,
Jis Se Uthtaa Hai Qareeb-E-Shaam Yaadon Kaa Dhuaan.
Kehte Hain Ummeed Pe Jeetaa Hai Zamaana,
Vo Kyaa Kare Jis Ko Koi Ummeed Nahin Hai.
Ummeed To Bandh Jaati Taskeen To Ho Jaati,
Vaadaa Na Vafaa Karte Vaadaa To Kiyaa Hotaa.
Ummeed-E-Shifaa Bhi Nahin Beemaar Ko Tere,
Allaah Se Maayoos Huaa Bhi Nahin Jaataa.
Sambhalne De Mujhe Ai Naa Ummeedi Kya Qayaamat Hai,
Ki Daamaan-E-Khayaal-E-Yaar Chhoota Jaaye Hai Mujh Se.