Lafz Ki Shakal Main Ehsaas Likha Jata Hai,
Yani Pani Ko Bhi Pyas Likha Jata Hai,
Mere Jazbat Se Waqif Hay Mera Qalam,
Main Mohabbat Likhun To Tera Naam Likha Jata Hai.
Ankhon Ko Aansu Ka Pata Na Chalta,
Dil Ko Dard Ka Ehsaas Na Hota,
Kitna Haseen Hota Ye Zindagi Ka Safar,
Agar Milkar Kabhi Bichadna Na Hota.
Pyaar wo ehsaas hai jo mitata nahi,
Pyaar wo parwat hai jo jhukta nahi,
Pyaar ki keemat kya hai humse pucho,
Pyaar wo anmol hira hai jo bikta nahi.
Dil Me Aap Ho Aur Koi Khass Kaise Hoga,
Yaado Me Aapke Siva Koi Paas Kaise Hoga,
Hichkiyan Kehti Hain Aap Yaad Karte Ho,
Par Bologe Nahi To Hume Ehsas Kese Hoga.
Kasur na unka tha na Hamara,
Hum dono hi rishte ki rashmo ko nibhate rahe,
Wo Pyaar ka ehsaas jatate rahe,
Hum Mohabbat ko dil mein chupate rahe.
Apna Dil Apni Tabahi Ka Sabak Hota Hai,
Yeh Jawani Ka Aalam Hi Ajab Hota Hai,
Kaunsi Baat Ne Kiska Dil Tod Diya,
Bolne Waale Ko Ehsaas Hi Kab Hota Hai.
Aaj phir dilme kuch bekarari hai,
shaayd kuch zakham ki jagah baki hai,
phir yaadone zakhmoko sehlaya hai,
ek ajeeb se dard ka ehsas umad aya hai.
Zauq-E-Janoon Ko Had Se Guzar Jane Do,
Wo Smaitney Aye Ga Humain Bikhar Jane Do,
Abhi Dastras Mai Hun To Ehsas Nahi,
Usko Ro Ro Ke Pukarey Ga Humain Mar Jane Do.
Har Aahat Ehsaas Hamara Dilaayegi,
Har Hawa Khushbu Hamari Laayegi,
Hum Dosti Aisi Nibhaayengey Yaara,
Hum Na Honge Tou Yaad Tumhe Sataayegi.
Jab Tum Kareeb Ho To Aur Be Kareeb Aati Hoon,
Ke Hamare Beech Mein Hawa Be Na Gus Paye Jab Tum Door Ho,
To Aur Bohat Door Chali Jathi Hoon,
Ke Tumhari Doori Ka Ehsas Be Na Aaye.