Jab Kabhi Dil Ko Wo Rihayi Dega,
Mere Andar Koi Tufan Sunayi Dega,
Uss Se Milte Hi Ye Ehsaas Hua Tha Mujhko,
Yahi Wo Shakhs Hai Jo Lambi Judai Dega.
Chahat Par Aitbaar Na Raha,
Khushi Kya Hai Ye Ehsaas Na Raha,
Dekha Hai In Aankhon Ne Tute Sapno Ko,
Islie Ab Kisi Ka Intezaar Na Raha.
Teri Kami Bhi Hai,
Tera Ehsaas Bhi Hai,
Tu Door Bhi Hai,
Tu Paas Bhi Hai,
Khuda Ne Yu Nawaza Hai Tere Pyar Se Mujhko,
K Khud Pe Gurur Bhi Hai Or Naaz Bhi.
Kimat Jazbat Ki Lagai Nai Jati,
Kimat Pyar Ki Lagai Nai Jati,
Dil Mai Ho Agar Dard Ka Ahsas,
To Hontho Pe Muskan Sajai Nai Jati.
Door Nigaahon Se Har Baar Jaya Na Karo,
Dil Ko Bedard Sa Tadpaya Na Karo,
Tum Bin Ek Pal Bhi Ji Nahi Sakte Hum,
Yeh Ehsaas Bar Bar Dilaya Na Karo
Andhere Ka Ehsas Shaam Se Hota Hai,
Nashe Ka Ehsas Jaam Se Hota Hai,
Yun To Hazaaron Gham Hai Is Dunia Me,
Magar Dard Ka Ehsaas Mohabbat Ke, Naam Se Hota Hai.
Na Gham Hai Na Hai Ehsaas Khushi Ka,
Na Deed Hai Na Hai Intezaar Kisi Ka,
Main TO Akela Chal Raha Hoon Andheron Main,
Ab Tu Ye Bhi Yaad Nahi Kab Hua Tha Samna Roshni Ka.
Anjaan Kisi Sathi Ka Iss Dil Ko Intezaar Hai,
Pyasi Hain Yeh Aankhein, Dil Beqarar Hai,
Sath Jo Mil Jaye Uska, Har Raah Ho Jaye Asaan,
Issi Ehsaas Ka Naam Shayad Pyar Hai.
Raat Si Tanha Khamoshi Hai Mere Dil Mein,
Shayad Kuch Jazbaat Ki Kami Hai Iss Dil Mein,
Pehle To Hum Harr Baat Par Haste Ya Rote The,
Par Ab Shayad Koi Ehsaas Hi Nahi Hai Mere Dil Mein.
Kaash Ye Dil Shishe Ka Bana Hota,
Chot Lagti To Beshak Ye Fanah Hota,
Par Sunte Jab Wo Aawaz Iske Tutne Ki,
Tab Unhe Bhi Apne Gunah Ka Ehsaas Hota.