Sharab Shayari - Page 4 - Hindi Shayari

Jaam Se Jaam

Jaam se jaam aaj tu takra le,
Ankhon se chalki hai hoton se laga le

Jaam Se Jaam

Saaki Se Keh Do

Saaki se keh do ki may me ab woh baat na rahi,
Jab se nigaahon se pee hai botal ki yaad na rahi,
Behosh kaun karta hai yeh to waqt hi batayega,
Par jaam me ab unki nigaaho si kaaynaat na rahi

Saaki Se Keh Do

Bottle Chupa Dena

Bottle chupa dena kafan me mere,
Shamshan me baith kar piya karuga.
Khuda maangega jab hisaab mujhse,
Ek ek peg bana kar diya karuga

Bottle Chupa Dena

Ab Main Peeta Tha

ab main peeta tha,
To usne chhuda di apni kasam de kar,
Jab maine chhodi, to yaaron ne pila di uski kasam de kar

Ab Main Peeta Tha

Maikhane Saje The

Maikhane saje the, Jam ka tha daur,
Jam me kya tha ye kisne kiya tha gaur,
Jam me gham tha mere armanon ka,
Aur sab kahe rahe the ek Aur, ek Aur

Maikhane Saje The

Devdas Ko Paaro Ne

Devdas ko paaro ne nakam kar diya,
Sharabi ko sharab ne badnam kar diya,
Mohabbat ho ya sharab, dono ka asar dekh lo,
Devdas aur sharabi ka, eksa anjaam kar diya

Devdas Ko Paaro Ne

Chaaron Taraf Tanhaai

Chaaron taraf tanhaai ka saya hai,
Zindagii mein pyaar kisne paya hai,
Hum yaadon mein jhoomte hain unki,
Aur zamana kehta hai aaj phir peekar aaya hai

Chaaron Taraf Tanhaai

Sharabi Bankar Khush Ho Leta Hoon

Sharabi bankar khush ho leta hoon,
Har jaam se dard bhar leta hoon,
Ek bewafa ka nasha to mujhe har pal rehta hai,
Is sharab se thoda hosh sambhal leta hoon,
Kaho saqi se muje aur peene de,
Yaron thoda apne liye bhi jee leta hoon

Sharabi Bankar Khush Ho Leta Hoon

Bewafai Ki Jab Usne

Bewafai ki jab usne di dhamki mujhe,
Keh diya maine ki dekha jaayega.
Pee lee hai do ghoont sakhi maine,
Maikade se kaun pyaasa jaayega

Bewafai Ki Jab Usne

Kuch Peete Hain

Kuch peete hain nasha chadaane ke liye,
Kuch peete hain gham bhulaane ke liye.
Jaane kyun duniya kehti hai sharab ko bura,
Sharabi to peeta hai muskuraane ke liye

Kuch Peete Hain

Dard-E-Gham Itna Mila Ki

Dard-e-gham itna mila ki ghabra ke pee gaye,
Thodi si khushi mili to mila ke pee gaye,
Yun to na thi pahle se pine ki aadat lekin,
Bewafaa kii bewafaai ko bhula ke pee gaye

Dard-E-Gham Itna Mila Ki

Sharab Ke Sang

Nasha-e-gham mein shayari,
Likhne ka alag sa maza aata hai,
Main nahin dalta ras shayari mein,
Ye to sharab ke sang aa jata hai

Sharab Ke Sang

Yeh Dil Sharabi Hai

Yeh dil sharabi hai,
Har kadam par machal jata hai,
Tum gar chhod ke jao to bhi gham nahin,
Yeh roz naye maikhane se dil behlata hai

Yeh Dil Sharabi Hai

Yaadon Se Salaam Leta Hoon

Yaadon se salaam leta hoon,
Waqt ke haath thaam leta hoon,
Zindege tham jaati hai pal bhar ke liye,
Jab mein hathon mein sharab-a-jaam leta hoon

Yaadon Se Salaam Leta Hoon

Tumko Mohabbat Ki Sachchai

Tumko mohabbat ki sachchai maar dalegi,
Unko to mohabbat ki gehraai maar dalegi,
Kar ke mohabbat koi nahi bachega yaron,
Unki judaai main hame sharab maar dalegi

Tumko Mohabbat Ki Sachchai

Kuchh Chehra Lajawab Lagte Hain

Kuchh chehre lajawab lagte hain,
Mahobbat ke lamhe sharaab lagte hain,
Dard itne sahe mohabbat mein maine,
Ki ab hosh ke pal kharab lagte hain

Kuchh Chehra Lajawab Lagte Hain

Ummeed Nahi Hai

Ummeed nahi hai phir bhi jiye ja raha hoon,
Khali hai botal phir bhi piye ja raha hoon,
Pata nahi woh milenge ya nahi,
Izhar-e-mohabaat ke liye piye ja raha hoon

Botal Main Sharab

Botal main sharab, sharab main uski tasveer nazar aati hai,
Nahi peeta to nasha chala jata hai, peeta hoon to uski tasveer chali jati hai

Botal Main Sharab

Hothon Pe Aaj Unka Naam Aa Gaya

Hothon pe aaj unka naam aa gaya,
Pyase ke hath mein aaj jaam aa gaya.
Dole kadam to gire unki bahon main ja ke,
Aaj to peena bhi hamare kaam aa gaya

Hothon Pe Aaj Unka Naam Aa Gaya

Dil Mein Ek Dard

Dil mein ek dard liye jiye ja raha hoon,
Teri mohabbat ka jaam piye ja rahan hoon,
Na chahte huye bhi ye kaam kiye jaa raha hoon,
Na jane khud ko kaun si manzil par liye ja raha hoon

Dil Mein Ek Dard