Sharab Shayari - Page 3 - Hindi Shayari

Lafzon Ke Fasaane

Lafzon Ke Fasaane Dhoondhte Hain Hum Log,
Lamhon Mein Zamaane Dhoondhte Hain Hum Log,
Tu Zeher Hi De Sharaab Keh Kar Saqi,
Peene Ke Bahaane Dhoondhte Hain Hum Log

Lafzon Ke Fasaane

Sab Kehte Hain

Sab Kehte Hain Ki Buri Hai Yeh Sharaab,
Maine Bhi Maana Ki Yeh Sharaab Nasha Chadati Hai,
Fir Puchte Hain Sab Mujhse Ki Kyon Peeta Hun Main,
To Kya Bataun Yaaro Yeh Sharab Hi Hai Jo Unka Gham Bhulati Hai

Sab Kehte Hain

Kaash Humein Bhi Koi

Kaash Humein Bhi Koi Samjhane Wala Hota,
To Aaj Hum Itne Nasamjh Na Hote,
Kaash Koi Ishq Ka Jaam Pilane Wala Hota,
To Aaj Hum Bhi Is Sharab Ke Deewane Na Hote

Kaash Humein Bhi Koi

Kal Ke Liye Kar Aaj

Kal Ke Liye Kar Aaj Na Khisat Sharab Mein,
Yeh Suu-e-Zan Hai, Saqi-e-Kausar Ke Baab Mein

Kal Ke Liye Kar Aaj

Kuch Bhi Bacha Na Kehne Ko

Kuch Bhi Bacha Na Kehne Ko Har Baat Ho Gayi,
Aao Kahin Sharab Piyein Raat Ho Gayi

Kuch Bhi Bacha Na Kehne Ko

Wo Bhi Din The

Wo Bhi Din The Jab Hum Bhi Piya Karte The,
Yun Na Karo Humse Peene Pilane Kee Baat,
Jitni Tumhare Jaam Mein Hai Sharab,
Utni Hum Paimaney Mein Chod Diya Karte The

Wo Bhi Din The

Main Talakhiye Hyaat

Main Talakhiye Hyaat Se Ghabra Ke Pee Geya,
Gham Kee Siyah Raat Se Ghabra Ke Pee Geya,
Itni Dakik She Koi Kaise Samajh Sake,
Yazdan Ke Vakiyat Se Ghabra Ke Pee Geya

Main Talakhiye Hyaat

Mehfil-E-Ishq Sajao

Mehfil-e-Ishq Sajao To Koi Baat Bane,
Daulat-e-Ishq Lutao To Koi Baat Bane,
Jaam Haathon Se Nahi Hai Peena Mujhko,
Kabhi Aankhon Se Pilao To Koi Baat Bane

Mehfil-E-Ishq Sajao

Aaj Pee Lene De

Aaj Pee Lene De Jee Lene De Mujhko Saqi,
Kal Meri Raat Khuda Jaane Kahan Guzregi

Aaj Pee Lene De

Shikan Na Daal

Shikan Na Daal Jabin Par Sharab Dete Hue,
Ye Muskurati Hui Cheez Muskura Ke Pila

Pita Hun Jitni

Pita Hun Jitni Utni Hi Badhti Hai Tishnagi,
Saqi Ne Jaise Pyaas Mila Di Sharab Mein

Pita Hun Jitni

Ye Kaali Kaali Botlein

Ye Kaali Kaali Botlein Jo Hain Sharaab Kee,
Raatein Hain In Mein Band Hamare Shabaab Kee

Ye Kaali Kaali Botlein

Aaye The Hasnste Khelte

Aaye The Hanste Khelte Mai-Kane Mein ‘Firaq’,
Jab Pi Chuke Sharab To Sanjida Ho Gaye

Aaye The Hasnste Khelte

Pi Liya Karte Hain

Pi Liya Karte Hain Jeene Ki Tamanna Mein Kabhi-Kabhi,
Kyonki Dagmagana Bhi Zaroori Hai Sambhalne Ke Liye

Pi Liya Karte Hain

Kyon Intezar Karen

Kyon Intezar Karen Kisi Mehkti Hui Shaam Ka,
Teri Nazron Se Hi Chalakta Hai Nasha Kisi Madira Ke Jaam Ka

Pehle Sharaab Zeesat Thi

Pehle Sharaab Zeesat Thi Ab Zeesat Hai Sharaab,
Koi Pila Raha Hai Piye Ja Raha Hun Main

Pehle Sharaab Zeesat Thi

Nazar Saaki Par Hain

Nazar saaki par hain aur lab paimaane par,
Dil hamara hai aaj fir kisi ke nishaane par.
Woh khaali pyala liye lete hain kabar main apni,
Kehte hain sharab milaegi jannat kay aane par

Nazar Saaki Par Hain

Jyada Peene Lage Hain

Hamari kahani sun saki ki bhi aankhon main aansoo aa jate hain,
Saare maikhane ki sharab peekar bhi hum nashe main nahi aate hain,
Kya karein saki ab to itni jyada peene lage hain,
Kay hum maikhane main bhi darwaje se lauta diye jate hain

Jyada Peene Lage Hain

Mohabbat Yahan Bikhti Hai

Mohabbat yahan bikhti hai aur ishq neelaam hota hai,
Bharose ka katal yahan khule aam hota hai.
Zamane se thokar milli to chale hum maikhane mein,
Aur wahi zamana hame sharabi sare aam kehta hai

Mohabbat Yahan Bikhti Hai

Jaam Se Kabhi

Jaam se kabhi itni nafrat naa karo,
Ki peena chaho to kabhi pee na sako.
Kisi ko bhi itna pyar na karo,
Ki bichad kar jeena chaho to jee na sako

Jaam Se Kabhi