Ranj-E-Firaaq-E-Yaar Main Ruswaa
Ranj-e-firaaq-e-yaar main ruswaa nahin hua,
Itna main chup hua ke tamasha nahin hua,
Aesa safar hai jis main koi hamsafar nahin,
Rasta hai is tarah ka ke dekha nahin hua,
Mushkil hua hai rehna humen iss dayaar main,
Barson yahan rahe hain yeh apnaa nahin hua,
Woh kaam shah-e-sheher se ya shehr se hua,
Jo kaam bhi hua yahan acha nahin hua,
Milna tha aik bar usay phir kahin munir,
Aesa main chahta tha pr aesa nahin hua..

More Entries
- Dil Ka Saffar Bas Ek Hi Manzil
- Laazim Nahin Ke Us Ko Bhi
- Meri Saari Zindagi Ko Be-Samar
- Kya Lage Raat Ke Phir Dil Mein Samaya Koi
- Apne Ghar Ko Wapis Jao Ro Ro Kar
- Bheer Mein Ik Ajnabi
- Yeh Mujhse Puchhate Hai Doctor Kyu
- Wo Mera Ghar Nahin Aata
- Ik Taizz Teer Tha Ke Lagaa Aur Nikal Geya
- Aane Ke Waqt Tum To Kahin