Dil Ka Saffar Bas Ek Hi Manzil
Dil ka saffar bas ek hi manzil pe bas nahin,
Itnaa khayaal uss ka humen iss barass nahin,
Dekho gul-e-bahaar-e-assar dasht-e-shaam main,
Deewaar-o-dar koi bhi kahin pesh-o-pass nahin,
Aaya nahin yaqeen bohat dair tak humen,
Apne hi ghar ka dar hai ya baab-e-qaffas nahin,
Aisa safar hai jis ki koi intihaa nahin,
Aisaa makaan hai jis main koi hum-naffass nahin,
Aaye gi phir bahaar issi sheher main Munir,
Taqdeer iss nagar ki faqat khaar-o-khas nahin.

More Entries
- Ranj-E-Firaaq-E-Yaar Main Ruswaa
- Meri Saari Zindagi Ko Be-Samar
- Ik Taizz Teer Tha Ke Lagaa Aur Nikal Geya
- Mere Naseeb Main Tu
- Bahaar Aaye To Mera Salaam Keh Dena
- Bechain Bohat Phirna Ghabraye
- Wo Mera Ghar Nahin Aata
- Falak Pe Chand K Hale Bhi Sog Karte Hain
- Gham Ki Barish Ne Bhi Tere Naqsh
- Apne Ghar Ko Wapis Jao Ro Ro Kar