Dil Ajab Mushkil Mei Hai Ab Asal
Dil ajab mushkil mei hai ab asal raaste ki taraf,
Yaad peeche kheenchti hai aas aagey ki taraf,
Chorr kar nikle they jis ko dasht-e-ghurbat ki taraf,
Dekhna shaam-o-sehar ab ghar ke saaye ki taraf,
Hai abhi aghaaz din kaa is dayaar-e-qaid main,
Hai abhi se dheyaan sara shab ke pehre ki taraf,
Subh ki raushan kiran ghar ke dareechey pr parri,
Ek rukh chamkaa hava main us ke sheeshe ki taraf,
Dooriyon se pur-kashish hain manzilein dono Munir,
Main ravaan hoon khawb main na-paiyd qarye ki taraf..

More Entries
- Mere Qaatil Ko Pukaro Ke Main
- Khushi Ki Baat Hai Ya Dukh Ka Manzar
- Gham Ki Barish Ne Bhi Tere Naqsh
- Rasta Hi Naya Hai, Na Main Anjaan
- Kisi Ranjish Ko Hawaa Do Ki Main
- Ab Aayein Ya Na Ayein Idhar Puchte Chalo
- Thanke Logon Ko Majboori
- Zulfon Ko Dia Hai
- Mujhe SahalHo Gai Manzilein
- Ik Taizz Teer Tha Ke Lagaa Aur Nikal Geya