Glance through our Shayari Section and find the perfect Shayari to share on your social media account or to dedicate it to your near and dear ones. We have a wide range of heart touching Shayaris that are true to one’s feelings or emotions.
Phira Hun Saaray Zamanay Mein Darbadar Kaisay
Mein Tere Baad Bhi Zinda Raha Magar Kaisay ?
Wo Jaanta Hai Ke Kuch Roz Wo Nahi Tha Tou Mein
Pukaarta Raha Os Ko Idhar Udhar Kaisay
Mein Jis Ke Hijr Mein Roya Hun Paaglon Ki Tarah
Wo Kal Mila Tou Hansa Mere Haal Per Kaisay
Azeez-Tar Thi Jisay Neend Shaam-e-Vasl Mein Bhi
Wo Tere Hijr Mein Jaaga Hai Umer Bhar Kaisay
Kahan Ki Dosti , Kaisa Firaaq , Kon “Mohsin” ?
Mein Khud Ko Bhool Gaya Tujh Ko Bhool Kar Kaisay
Junoon Main Shauq Ki Gehraiyon Se Darta Raha,
Main Apni ZaaT Ki Sachaiyon Se Darta Raha,
Mohabton Se Shanasa Huwa Main Jis Din Se,
Phir Us K Baad Shanasaiyon Se Darta Raha,
Wo Chahta Tha K Tanha Miloon To Baat Kre,
Main Kya Krun K Main Tanhaiyon Se Darta Raha,
Mein Regzaar Tha Mujh Main Basay Thay Sanaatay,
Isi Liye To Main Shehnaiyon Se Darta Raha,
Main Apne Baap Ka Yousuf Tha is Liye Mohsin,
Sakoon Se, So Na Saka Bhaiyon Se Darta Raha…!!
Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha,
Mujhse Milta Tha Tou Talqeen-E-Wafa Karta Tha,
Uske Daman Main Koi Phool Nahi Meray Liye,
Jo Meri Tangi-e-Damaa.n Ka Gila Karta Tha,
Aaj Jo Usko Bulaya Tou Wo Gumsum Hee Raha,
Dil Dhadaknay Ki Jo Awaz Suna Karta Tha,
Aaj Wo Meri Har Ek Baat Ke Maayni Poochay,
Jo Meri Soch Ki Tafseer Likha Karta Tha,
Uski Dehleez Par Sadiyon Se Khada Hoon “Mohsin”
Mujhsay Milnay Ko Jo Lamhaat Gina Karta Tha…!
Sakoot-e-Shaam Main Goonji Sadaa Udaasi Ki,
Ke Hai Mazeed Udaasi Dawa Udaasi Ki,
Amoor-e-Dil Main, Kisi Teesre Ka Dakhal Nahi,
Yahan Faqat Teri Chalti Hai Ya Udaasi Ki,
Bohat Shareer Tha Main Aur Hansta Phirta Tha,
Phir Ek Faqeer Ne De Di Dua Udaasi Ki,
Charaagh-e-Dil Ko Zara Ehtiyaat Se Rakhna,
Ke Aaj Raat Chale Gi Hawa Udaasi Ki,
Bohat Dinon Se Mulakaat Hi Nahi “Mohsin”,
Kahin Se Khair Khabar Le Ke Aa Udaasi Ki.
Kal Jahan Deevar Thi, Hai Aaj Ek Dar Dekhiye,
Kya Samayi Thi Bhala Deewane Ke Sa Dekhiye,
Shantimay Lagti Hai Kitni Jhil Ke Pani Par Hans,
Pairon Ki Betabiya Pani Ke Andar Dekhiye,
Chhodkar Jisko Gaye The Aap Koi Aur Tha,
Ab Main Koi Aur Hu Wapis Toh Aakar Dekhiye,
Chhote Se Ghar Mein The Dekhe Khwab Mahalo Ke Kabhi,
Aur Ab Mahlon Mein Hain Toh Khwab Mein Ghar Dekhiye,
Akal Yeh Kahti Hai Duniya Milti Hai Bazar Mein,
Dil Magar Yeh Kahta Hai Kuchh Aur Behtar Dekhiye.
Hamne Dhunde Bhi Toh Dhubde Hain Sahare Kaise,
In Sharabo Par Koi Umar Gujare Kaise,
Hath Ko Hath Nahi Sujhe Woh Andhkar Thi,
Aa Gaye Haath Mein Na Jaane Sitare Kaise,
Har Taraf Shor Usi Naam Ka Hai Duniya Mein,
Koi Usko Jo Pukare Toh Pukare Kaise,
Dil Bujha Jitane The Arman Saare Khak Huye,
Rakh Mein Fir Yeh Chamkate Hain Sarare Kaise,
Na Toh Dam Leti Hai Tu Na Hawa Thamti Hai,
Zindagi Julf Teri Koi Sanware Kaise.
Jidhar Jate Hain Sab, Udhar Jana Achha Nahi Lagta,
Mujhe Puraane Raston Ka Safar, Achha Nahi Lagta,
Galat Baaton Ko Khamoshi Se Suno, Hami Bhar Lena,
Bahut Hain Fayde Is Mein Magar Achha Nahi Lagta,
Mujhe Dushman Se Bhi Khuddari Ki Umeed Rahti Hai,
Kisi Ka Bhi Ho Sar Kadmon Mein Achha Nahi Lagta,
Bulandi Par Inhe Mitti Ki Khusbbo Tak Nahi Aati,
Yeh Woh Shakhe Hain Jinko Ab Shajar Achha Nahi Lagta,
Yeh Kyu Baki Rahe Aatish Jano Yeh Bhi Jala Dalo,
Ki Sab Beghar Ho Aur Mera Ho Ghar Achha Nahi Lagta.
Jab Aaina Koi Dekho Ik Ajnabi Dekho,
Kahan Par Layi Hai Tumko Yeh Zindagi Dekho,
Muhabbaton Mein Kahan Apne Waste Fursat,
Jise Bhi Chaho Woh Chahe Meri Khusi Dekho,
Jo Ho Sake Toh Jyada Hi Chahna Mujhko,
Kabhi Jo Meri Mohabbat Mein Kuchh Kami Dekho,
Jo Door Jaaye Toh Gham Hai Jo Paas Aaye Toh Gham Hai,
Na Jaane Kya Hai Woh Kambakht Aadmi Dekho,
Ujala Toh Nahi Kah Sakte Isko Hum Lekin,
Jara Si Kam Toh Huyi Hai Andhkar Dekho.
Main Kab Se Kitna Hu Tanha Mujhe Pata Bhi Nahi,
Tera Toh Koi Khuda Hai Mera Khuda Bhi Nahi,
Kabhi Yeh Lagta Hai Ab Khatm Ho Gaya Hai Sab Kuchh,
Kabhi Yeh Lagta Hai Ab Tak Toh Kuchh Hua Bhi Nahi,
Kabhi Toh Baat Ki Usne Kabhi Raha Khamosh,
Kabhi Toh Hanske Mila Aur Kabhi Mila Bhi Nahi,
Kabhi Jo Kadwi Baat Thi Woh Bhi Khatm Huyi,
Kabhi Gila Tha Hamein Unse Ab Gila Bhi Nahi,
Woh Cheekh Ubhri, Badi Der Gunji, Doob Gayi,
Har Ek Sunta Tha Lekin Koi Hila Bhi Nahi.
Yeh Mujhse Puchhate Hain Doctor Kyu,
Ki Tu Zinda Toh Hai Ab Tak, Magar Kyu,
Jo Rasta Chhod Ke Main Ja Raha Hun,
Usi Raste Par Jati Hai Najar Kyu,
Sunayenge Kabhi Fursat Mein Tumko,
Ki Hum Barson Rahe Hai Darbadar Kyu,
Yahan Bhi Sab Hai Begana Hi Mujhse
Kahun Main Kya Ki Yaad Aaya Hai Ghar Kyu,
Main Khus Rahta Gar Samjha Na Hota,
Ye Duniya Hai Toh Main Deedavar Kyu.
Yeh Duniya Tum Ko Raash Aaye Toh Kahna,
Na Sar Pathar Se Takraye Toh Kahna,
Yeh Gull Kagaj Hain Yeh Jewar Hain Peetal,
Samajh Mein Jab Yeh Aa Jaye Toh Kahna,
Bahut Khus Ho Ke Usne Kuchh Kaha Hai,
Na Kahkar Woh Mukar Jaaye Toh Kahna,
Bahal Jaaoge Tum Gham Sun Kar Mere,
Kabhi Dil Gham Se Ghabraye Toh Kahna,
Dhuan Jo Kuchh Gharo Se Uthh Raha Hai,
Na Poore Sahar Par Chhaye Toh Kahna.
Aaj Maine Apne Fir Souda Kiya,
Aur Fir Main Door Se Dekha Kiya,
Zindagi Bhar Mere Kaam Aaye Usul,
Ek Ek Karke Unhe Becha Kiya,
Bandh Gayi Thi Dil Mein Kuchh Umeed Si,
Khair Tumne Jo Kiya Achha Kiya,
Kuchh Kami Apni Wafaon Mein Bhi Thi,
Tumse Kya Kahte Ki Tumne Kya Kiya,
Kya Batau Kon Tha Jisne Mujhe,
Is Bhri Duniya Mein Hai Tanha Kiya.
Yaad Usse Bhi Ek Adura Afsana Toh Hoga,
Kal Raaste Mein Usne Humko Pahchana Toh Hoga,
Dar Humko Bhi Lagta Hai Raste Ke Sannate Se,
Lekin Ek Safar Par Eh Dil Ab Jana Toh Hoga,
Kuchh Baton Ke Matlab Hain Aur Kuchh Matlab Ki Baatein,
Jo Yeh Fark Samajh Lega Woh Deewana Toh Hoga,
Dil Ki Baaatein Nahi Hain Toh Dilchasp Hi Kuchh Batein Ho,
Jinda Rahna Hai Toh Dil Ko Bahlana Toh Hoga,
Jeet Ke Bhi Woh Sarminda Hai Haar Ke Bhi Hum Garvit,
Kam Se Kam Woh Dil Hi Dil Mein Yeh Mana Toh Hoga.
Do Kinaaro’n Ka Kahi’n Sangam Nahi Hota,
Agar’chay Do Kinaro’n Ka Kahi’n Sangam Nahi Hota,
Magar Ek Saath Chalna Bhi To Koi Kam Nahi Hota,
Badan Se Rooh Jaati Hai To Bichh’ti Hai Saff-E-Maatam,
Magar Kirdaar Marr Jaaye To Kyun Maatam Nahi Hota?
Hazaaro’n Zulmato’n Mai’n Bhi Jawaa’n Rehti Hai Lau Us Ki,
Charaagh-E-Ishq Jalta Hai To Phir Maddham Nahi Hota,
Wo Aankhei’n Ek Lutaa Ghar Hai’n, Jaha’n Aansoo Nahi Rehtay,
Wo Dil Pathar Hai, Jis Dil Mai’n Kisi Ka Gham Nahi Hota.
Hasti ka aitbaar kiye bagair reh na jaye,
Dunya hai yahan per jiye bin raha na jaye,
Kat’ti nahin yeh zindagi umeed ke bagher,
Yeh jaam woh hai jis ko piye bin raha na jaye,
Chahat ka zakhm dil ko tamasha na bana de,
Aesa hai chaak jis ko siye bin rahaa na jaye,
Dunya ke is afshaar mein hai us ki yaad yoon,
Aandhi ho tez aur diye bin raha na jaye,
Ik simt tera hukam hai, ik simt kayenaat,
Yeh bojh apne sir pe liye bin raha na jaye…
Jo hukum deta hai woh ilteza bhi karta hai,
Ye aasmaan kahin par jhuka bhi karta hai.
Main apni haar pe naadim iss yaqeen ke sath,
Ki apne ghar ki hifazat khuda bhi karta hai.
Tu bewafa hai toh ek buri khabar sun le,
Ki intezaar mera koi dusra bhi karta hai.
Haseen logon se milne pe aitraaz na kar,
Ye jurm woh hai jo shaadi-shuda bhi karta hai.
Humesha gusse se nuksaan hi nahin hota,
Kahin kahin ye bahut fayda bhi karta hai. !!
Gulaab rang ko tere kapaas hona pade,
Na itna hans ki tujhe devdaas hona pade.
Balaa se jati hain aankhein phir chali jayen,
Main usko dekh lun phir devdaas hona pade.
Ye aarzoo hai ki guzren idhar se woh chahe,
Humari palkon ko raaste ki ghaas hona pade.
Ye mod woh hai jahan khudkushi bhi jaayaz hai,
Meri anaa ko agar belibaas hona pade. !!
Shareef insaan aakhir kyon election haar jaata hai,
kitaabon mein toh ye likha tha raavan haar jaata hai.
Judi hain iss se tehzeeben sabhi tasleem karte hain,
numaaish mein magar mitti ka bartan haar jaata hai.
Mujhe maloom hai tumne bahut barsaaten dekhi hain,
magar meri inhin aankhon se saawan haar jaata hai.
Abhi maujood hai iss gaaon ki mitti mein khuddari,
abhi bewaa ki ghairat se mahaajan haar jaata hai.
Agar ek keemti bazaar ki soorat hai yeh duniya,
toh phir kyon kaanch ki choodi se kangan haar jaata hai. !!
main apne khwab se bichada nazar nahi aata
tu is sadi mein akela nazar nahi aata
ajab dabav hai in bahri hawaon ka
gharon ka bojh bhi uthta nazar nahi aata
main ek sada pe hamesha ko ghar chod aaya tha
magar pukarane vala nazar nahi aata
main teri reh se hatane ko hat gaya lekin
mujh to koi bhi rasta nazar nahi aata
dhuan bhara hai yahan sabhi ke aankhon mein
kisi ko ghar mera jalta nazar nahi aata
Zara sa qatara kaheen aj agar ubharata hai
samandaron hi ke lahaje mein baat karta hai
khuli chaton ke diye kab ke bujh gaye hote
koi to hai jo hawaon ke par katarata hai
sharafaton ke yahan koi ahamiyat hi nahi
kisi ka kuch na bigado to kon darta hai
zamin ke kaisi viqalat ho phir nahi chalati
jab aasman se koi faisala utarata hai
tum aa gaye ho to phir kuch chandani si baten hon
zamin pe chand kahan roz roz utarata hai.