Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa
Wo Jo Khud Pairvi-E-Ehd-E-Wafa Karta Tha,
Mujhse Milta Tha Tou Talqeen-E-Wafa Karta Tha,
Uske Daman Main Koi Phool Nahi Meray Liye,
Jo Meri Tangi-e-Damaa.n Ka Gila Karta Tha,
Aaj Jo Usko Bulaya Tou Wo Gumsum Hee Raha,
Dil Dhadaknay Ki Jo Awaz Suna Karta Tha,
Aaj Wo Meri Har Ek Baat Ke Maayni Poochay,
Jo Meri Soch Ki Tafseer Likha Karta Tha,
Uski Dehleez Par Sadiyon Se Khada Hoon “Mohsin”
Mujhsay Milnay Ko Jo Lamhaat Gina Karta Tha…!

More Entries
- Kalam Chalti Hai To Dil Ki
- Saltanat Dil Mein Hi Nahi Uski
- Kehte Hai Ki Khuda Kabhi
- Jane Kis Cheez Ki Wo Mujhko
- Kabhi Tum Mujhe Kareeb Se Aa Ke Dekhna
- Jisne Kabhi Chahton Ka
- Uski Zafaaon Ne Mujhe Ek Tahzeeb
- Uski Chahat Ka Bharam Kya Rakhna
- Har Yaad Mein Uski Yaad Rehti Hai
- Mere Qaatil Ko Pukaro Ke Main