Hamare Dil Mein Ab Kadwahat Nahi Hai,
Magar Woh Baat Pahle Si Nahi Hai,
Mujhe Maayush Bhi Bhi Karti Nahi Hai,
Yahi Aadat Teri Achhi Nahi Hai,
Bahut Se Faayde Hain Maslehat Mein,
Magar Dil Ki Toh Yeh Marji Nahi Hai,
Har Ek Ki Dastaa Sunate Hain Jaise,
Kabhi Hamne Mohabbat Ki Nahi Hai,
Hai Ek Darwaja Bin Deewar Duniya,
Chhutkara Gham Se Yahan Koi Nahi Hai.
Dard Kuchh Din Toh Mehmaan Thahre,
Hum Hathi Hain Ke Mejbaan Thahre,
Sirf Tanhai Sirf Virani,
Yeh Najar Jab Uthe Jahan Thahre,
Koun Se Jakham Par Padav Kiya,
Dard Ke Kaafile Kahan Thahre,
Kaise Dil Mein Khusi Basa Loo Main,
Kaise Muthi Mein Yeh Dhuan Thahre,
Thi Kahin Niyat Kahi Sahas,
Hum Kahin Inke Darmiyan Thahre.
Sukhi Tehni Tanha Chidiya Feeka Chand,
Aakhon Ka Sehra Mein Ek Nami Ka Chand,
Us Maathe Ko Chume Kitne Din Beete,
Jis Maathe Ki Khatir Tha Ik Teeka Chanda,
Pehle Tu Lagti Thi Kitni Begana,
Kitna Dhundhla Hota Hai Pehli Ka Chand,
Kam Ho Kaise In Khushiyon Se Tera Gham,
Lehron Mein Kab Behta Hai Nadi Ka Chand,
Aao Ab Hum Iske Bhi Tukde Kar Lein,
Dhaka, Rawalpindi Aur Dilli Ka Chand.
Na Mila Muntazir Jo Vo To Ham Hain Sharmindaa,
Ke Hamnein Der Laga Dee Palat Ke Aane Mein.
मुझे दुश्मनों से भी खुद्दारी की उम्मीद रहती है,
सर किसी का भी हो कदमों में अच्छा नहीं लगता.
बदल गई है ज़िंदगी, बदल गये हैं लोग भी,
ख़ुलूस का जो था कभी, वो अब सिला नहीं रहा !
कभी यूँ भी तो हो ये बादल ऐसा टूट के बरसे,
मेरे दिल की तरह मिलने को तुम्हारा दिल भी तरसे !
Narm Awaaz, Bhali Baatei’n, Mohzab Lehze’n,
Pehli Baarish Mein Hi Yeh Rang Utar Jaatey Hain.
इस शहर में जीने के अंदाज़ निराले हैं
होंटों पे लतीफ़े हैं आवाज़ में छाले हैं !
याद उसे भी एक अधूरा अफ़्साना तो होगा,
कल रस्ते में उसने हमको पहचाना तो होगा.